be-nam udasi
qahqahe havāoñ meñ bikhar ga.e
kursiyāñ aur Tableñ
vīrān ho ga.iiñ
shaam phir udaas ho ga.ī
ek be-nām soch meñ
Duub ga.ī
jaise ghar ke kūḌe-dān meñ
muḌī tuḌī sī koī chiiz
mil ga.ī
jaise chalte chalte raah meñ
koī baat
yaad aa ga.ī
ḳhālī haiñ gilās
ḳhālī haiñ botaleñ
zindagī bhī ḳhālī hai
ḳhālī botaloñ kī tarah
shaam phir udaas ho ga.ī
ek be-nām soch meñ
Duub ga.ī
qahqahe hawaon mein bikhar gae
kursiyan aur Tablen
viran ho gain
sham phir udas ho gai
ek be-nam soch mein
Dub gai
jaise ghar ke kuDe-dan mein
muDi tuDi si koi chiz
mil gai
jaise chalte chalte rah mein
koi baat
yaad aa gai
KHali hain gilas
KHali hain botalen
zindagi bhi KHali hai
KHali botalon ki tarah
sham phir udas ho gai
ek be-nam soch mein
Dub gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.