be-nishan hone se pahle
zindagī ik duur tak sañgīt thī ab shor hai
haañ magar is shor ke bikhrāv meñ
be-mahābā saut ke Takrāv meñ
shāyad abhī andoḳhta kuchh zer-o-bam hoñ
aao ham tum
koī zer-o-bam talāsheñ
koī pech-o-ḳham tarāsheñ
aur is tartīb-kārī kī shu.ūrī koshishoñ ko
lā-shu.ūrī naġhmagī kī āḳhirī miTtī huī sī guuñj se añgez kar ke
ek shab
koī ik āhañg de deñ
is se pahle ki ye shor-e-nā-tamām
sūr-e-isrāfīl ke itmām meñ kho jaa.e
hashr uTThe aur qayāmat aa.e
aur ham ko jhoñk de āvāz ke ik munqat'a rishte ke dozaḳh meñ
faisla kar de hamāre darmiyāñ
ik dā.imī ḳhud-nā-shanāsī ke jahannam kā
is se pahle
aao ham tum
is ḳhalīj-e-nā-rasā.ī par
sadā ke pul banā deñ
be-nishāñ hone se pahle
is zamīñ par āḳhirī pahchān kī duniyā basā leñ
zindagi ek dur tak sangit thi ab shor hai
han magar is shor ke bikhraw mein
be-mahaba saut ke Takraw mein
shayad abhi andoKHta kuchh zer-o-bam hon
aao hum tum
koi zer-o-bam talashen
koi pech-o-KHam tarashen
aur is tartib-kari ki shuuri koshishon ko
la-shuuri naghmagi ki aaKHiri miTti hui si gunj se angez kar ke
ek shab
koi ek aahang de den
is se pahle ki ye shor-e-na-tamam
sur-e-israfil ke itmam mein kho jae
hashr uTThe aur qayamat aae
aur hum ko jhonk de aawaz ke ek munqat'a rishte ke dozaKH mein
faisla kar de hamare darmiyan
ek daimi KHud-na-shanasi ke jahannam ka
is se pahle
aao hum tum
is KHalij-e-na-rasai par
sada ke pul bana den
be-nishan hone se pahle
is zamin par aaKHiri pahchan ki duniya basa len
- Book : sargoshiyan zamanon ki (Pg. 16)
- Author : abdul ahad saaz
- Publication : madran publication house 9,gola market daryagan new delhi (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.