be-rozgar 2
maiñ
apnī
jānib
se puurī koshish
to kar rahā huuñ
magar natīje
ḳhilāf aa.eñ to kyā karūñ maiñ
mujhe
pata hai
ki job par hī
hamārā future Tikā huā hai
magar
ye rasta to
din-ba-din ab
tavīl hotā hī jā rahā hai
jo Dar
tumhārā hai
mere Dar se
alag nahīñ hai
ho tum pareshāñ
to maiñ bhī jānāñ sukūñ meñ kab huuñ
maiñ
apnī
jānib
se puurī koshish
to kar rahā huuñ
kahīñ pe
maz.hab javāz thā to
kahīñ pe
rishvat ne haath kaaTe
kahīñ pe
parchā bahut kaThin thā
kahīñ pe
bīmār ho gayā maiñ
kahīñ pe
chhūTī hai train merī
kahīñ pe
degrē banī kamī hai
kahī pe
dushman huī ghaḌī hai
maiñ
apnī
jānib
se puurī koshish
to kar rahā huuñ
magar natīje
ḳhilāf aa.eñ to kyā karūñ maiñ
bahut
umīdoñ kā bojh
kāñdhoñ pe le ke paḌhnā
sabhī ke
ḳhvāboñ ko
apnī āñkhoñ meñ
bhar ke paḌhnā
sahl nahīñ hai
magar maiñ phir bhī mahāz par is tarah DaTā huā huuñ
maiñ
apnī
jānib
se puurī koshish
to kar rahā huuñ
ye
daur
kitnā
Darāvnā hai
nikal ke dekho
go
ek
haDDī kī
aarzū meñ
hazār kutte jhagaḌ rahe haiñ
galī galī
sab bhaTak rahe haiñ
ki coach trainoñ ke ghar bane haiñ
maiñ ḳhud bhī
traineñ badal rahā huuñ
na jaane kab se bhaTak rahā huuñ
maiñ
apnī
jānib
se puurī koshish
to kar rahā huuñ
duā.eñ
tum bhī to
māñgtī ho
milī ho jab se
namāz koī
qazā tumhārī
nahīñ huī hai
hañsī laboñ se uḌī huī hai
tumhārī rañgat badal ga.ī hai
magar
duā.eñ
asar nā laa.eñ to kyā karo tum
maiñ
apnī
jānib
se puurī koshish
to kar rahā huuñ
magar natīje
ḳhilāf aa.eñ to kyā karūñ maiñ
merī tumhārī
tarah
karoḌoñ mohabbat par
yahī to
ḳhadshe bane hue haiñ
magar
yahāñ kī
hukūmatoñ ke
jo mas.ale haiñ vo aur hī haiñ
maiñ
apnī
jānib
se puurī koshish
to kar rahā huuñ
magar natīje
ḳhilāf aa.eñ to kyā karūñ maiñ
main
apni
jaanib
se puri koshish
to kar raha hun
magar natije
KHilaf aaen to kya karun main
mujhe
pata hai
ki job par hi
hamara future Tika hua hai
magar
ye rasta to
din-ba-din ab
tawil hota hi ja raha hai
jo Dar
tumhaara hai
mere Dar se
alag nahin hai
ho tum pareshan
to main bhi jaanan sukun mein kab hun
main
apni
jaanib
se puri koshish
to kar raha hun
kahin pe
mazhab jawaz tha to
kahin pe
rishwat ne hath kaTe
kahin pe
parcha bahut kaThin tha
kahin pe
bimar ho gaya main
kahin pe
chhuTi hai train meri
kahin pe
degree bani kami hai
kahi pe
dushman hui ghaDi hai
main
apni
jaanib
se puri koshish
to kar raha hun
magar natije
KHilaf aaen to kya karun main
bahut
umidon ka bojh
kandhon pe le ke paDhna
sabhi ke
KHwabon ko
apni aankhon mein
bhar ke paDhna
sahl nahin hai
magar main phir bhi mahaz par is tarah DaTa hua hun
main
apni
jaanib
se puri koshish
to kar raha hun
ye
daur
kitna
Darawna hai
nikal ke dekho
go
ek
haDDi ki
aarzu mein
hazar kutte jhagaD rahe hain
gali gali
sab bhaTak rahe hain
ki coach trainon ke ghar bane hain
main KHud bhi
trainen badal raha hun
na jaane kab se bhaTak raha hun
main
apni
jaanib
se puri koshish
to kar raha hun
duaen
tum bhi to
mangti ho
mili ho jab se
namaz koi
qaza tumhaari
nahin hui hai
hansi labon se uDi hui hai
tumhaari rangat badal gai hai
magar
duaen
asar na laen to kya karo tum
main
apni
jaanib
se puri koshish
to kar raha hun
magar natije
KHilaf aaen to kya karun main
meri tumhaari
tarah
karoDon mohabbat par
yahi to
KHadshe bane hue hain
magar
yahan ki
hukumaton ke
jo masale hain wo aur hi hain
main
apni
jaanib
se puri koshish
to kar raha hun
magar natije
KHilaf aaen to kya karun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.