be-rozgar
garmī bahut hai lekin tum
apne kamre kī khiḌkiyāñ aur darvāze band kar lo
aur lihāf oḌh kar
so jaao
tumhārī tang-o-tārīk galī meñ
ab koī nahīñ aa.egā
tumhāre tārīk aur pur-ufūnat kamre meñ
koī nahīñ aa.egā
tumhārī ḳhairiyat pūchhne ke liye
sab masrūf haiñ
aur tum
bekārī ke buḳhār se
pareshān ho
garmi bahut hai lekin tum
apne kamre ki khiDkiyan aur darwaze band kar lo
aur lihaf oDh kar
so jao
tumhaari tang-o-tarik gali mein
ab koi nahin aaega
tumhaare tarik aur pur-ufunat kamre mein
koi nahin aaega
tumhaari KHairiyat puchhne ke liye
sab masruf hain
aur tum
bekari ke buKHar se
pareshan ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.