be-rozgar
to
aur ik baar
phir
merā
selection
ho nahīñ paayā
merī
har ek
nākāmī pe
rassī muskurātī hai
ḳhushī se
aiñTHtī hai
aur
na.e bal paḌte jaate haiñ
mujhe apnā galā ghuTtā huā mahsūs hotā hai
maiñ
apnī
chhat se
jab
nīche galī meñ
jhāñktā huuñ
to
ye lagtā hai
saḌak mujh ko
uchhal kar
khīñch le jā.egī
apne sañg
Darā detā hai ye ehsās
aur
mujh ko pasīne se lahū kī gandh aatī hai
agar
maiñ duur se bhī
rail kī
āvāz suntā huuñ
to
koī
ajnabī
haibat mujhe jhakjhor detī hai
aziyyat
ḳhuun ke
katroñ meñ
yuuñ karvaT badaltī hai
ki maiñ TukḌoñ meñ baTte ruuh ko mahsūs kartā huuñ
mere kamre kā
cieling-fan
hañstā hai
merī jānib
lapaktā hai
maiñ Dar se
kaañp jaatā huuñ
simaT kar
baiTh jaatā huuñ
kisī kone meñ kamre ke
yuuñ lagtā hai
ka.ī sadiyoñ kā lambā fāsla tai kar ke maiñ ne sub.h paa.ī hai
magar
maiñ sochtā huuñ
kab talak āḳhir
maiñ
apne aap ko
ḳhud se bachā.uñgā
mahz
ik aur nākāmī
maiñ ab ke TuuT jā.ūñgā
badan se chhūT jā.ūñgā
to
aur ek bar
phir
mera
selection
ho nahin paya
meri
har ek
nakaami pe
rassi muskuraati hai
KHushi se
ainTHti hai
aur
nae bal paDte jate hain
mujhe apna gala ghuTta hua mahsus hota hai
main
apni
chhat se
jab
niche gali mein
jhankta hun
to
ye lagta hai
saDak mujh ko
uchhal kar
khinch le jaegi
apne sang
Dara deta hai ye ehsas
aur
mujh ko pasine se lahu ki gandh aati hai
agar
main dur se bhi
rail ki
aawaz sunta hun
to
koi
ajnabi
haibat mujhe jhakjhor deti hai
aziyyat
KHun ke
katron mein
yun karwaT badalti hai
ki main TukDon mein baTte ruh ko mahsus karta hun
mere kamre ka
cieling-fan
hansta hai
meri jaanib
lapakta hai
main Dar se
kanp jata hun
simaT kar
baiTh jata hun
kisi kone mein kamre ke
yun lagta hai
kai sadiyon ka lamba fasla tai kar ke main ne subh pai hai
magar
main sochta hun
kab talak aaKHir
main
apne aap ko
KHud se bachaunga
mahz
ek aur nakaami
main ab ke TuT jaunga
badan se chhuT jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.