be-saKHta dil ye chahta hai
hangāma-e-roz-o-shab se haT kar
kuchh der ko zaat se nikal kar
ehsās mile jo māvarā.ī
be-sāḳhta dil ye chāhtā hai
vo haath jo likh rahā hai sab kuchh
taqdīr kā khol kar navishta
jab apne hī dhyān meñ magan ho
chupke se uThā ke eḌiyoñ ko
haule se varaq ulaT ke dekhūñ
is vaqt meñ jo hai aane vaalā
jāñ-levā masāfatoñ ke rastoñ
par kaun kahāñ talak chalā hai
aur ḳhaak ke is badan pe kitnā
dukh dard kī ḳhema bastiyoñ kā
ye bojh koī uThā sakā hai
āñkhoñ meñ jale diyoñ kī lau ne
bujhne meñ liyā hai vaqt kitnā
kab tak bharam āñsuoñ kā rakhā
ḳhvāboñ kī hatheliyoñ ne kab tak
afsūñ ke charāġh thaam rakkhe
mai-ḳhāna-e-sarḳhushī ne kab tak
mastī ke ayāġh thaam rakkhe
qadmoñ ne diyā thā kis qadar saath
ik dauḌ ko hārne se pahle
ik paikar-e-dard se tarab kā
malbūs utārne se pahle
be-sāḳhta dil ye chāhtā hai
hangama-e-roz-o-shab se haT kar
kuchh der ko zat se nikal kar
ehsas mile jo mawarai
be-saKHta dil ye chahta hai
wo hath jo likh raha hai sab kuchh
taqdir ka khol kar nawishta
jab apne hi dhyan mein magan ho
chupke se uTha ke eDiyon ko
haule se waraq ulaT ke dekhun
is waqt mein jo hai aane wala
jaan-lewa masafaton ke raston
par kaun kahan talak chala hai
aur KHak ke is badan pe kitna
dukh dard ki KHema bastiyon ka
ye bojh koi uTha saka hai
aankhon mein jale diyon ki lau ne
bujhne mein liya hai waqt kitna
kab tak bharam aansuon ka rakha
KHwabon ki hatheliyon ne kab tak
afsun ke charagh tham rakkhe
mai-KHana-e-sarKHushi ne kab tak
masti ke ayagh tham rakkhe
qadmon ne diya tha kis qadar sath
ek dauD ko haarne se pahle
ek paikar-e-dard se tarab ka
malbus utarne se pahle
be-saKHta dil ye chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.