be-sabaati
mere marne kā ġham kyoñ karo
merā honā na honā barābar rahā
jism kyā rizq hai ḳhaak kā
ruuh ḳhallāq kī
aañkh mahbūb kī
kaan minnat-kash-e-ġhair the
jo muḳhātib huā
us ke hī ho ga.e
ek dil thā bachā
vo bhī 'arsa huā
sarf-e-jāñ ho gayā
mere marne ka gham kyon karo
mera hona na hona barabar raha
jism kya rizq hai KHak ka
ruh KHallaq ki
aankh mahbub ki
kan minnat-kash-e-ghair the
jo muKHatib hua
us ke hi ho gae
ek dil tha bacha
wo bhi 'arsa hua
sarf-e-jaan ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.