be-tabi
kabhī kabhī aksar
tumhārī yaad kā pahlū
baḌā bechain kartā hai
sukūñ mujh ko nahīñ aatā
tumhārī yaad aatī hai
zarā ranjūr kartī hai
zarā ḳhāmosh rahtā huuñ
zarā sā shor suntā huuñ
samajh meñ kuchh nahīñ aatā
baḌā bechain rahtā huuñ
havā bhī kuchh nahīñ kahtī
sabā bhī chup hī rahtī hai
nidā aksar gale ke
āḳhirī nukkaḌ talak aa kar
bahut dhīre se kahtī hai
mujhe tum yaad aate ho
mujhe tum yaad aate ho
kabhi kabhi aksar
tumhaari yaad ka pahlu
baDa bechain karta hai
sukun mujh ko nahin aata
tumhaari yaad aati hai
zara ranjur karti hai
zara KHamosh rahta hun
zara sa shor sunta hun
samajh mein kuchh nahin aata
baDa bechain rahta hun
hawa bhi kuchh nahin kahti
saba bhi chup hi rahti hai
nida aksar gale ke
aaKHiri nukkaD talak aa kar
bahut dhire se kahti hai
mujhe tum yaad aate ho
mujhe tum yaad aate ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.