be-tabir
bachpane kī duniyā thī
jis ke dam se dam letī
ḳhauf kī pichhal-pā.ī
ḳhvāb jis kī zad meñ the
sub.h ḳhvāb sunñe par
sab buzurg kah dete
ḳhvāb kī ye bāteñ haiñ
ham se duur bīteñgī
duur se suneñge ham
ab judā sī duniyā hai
an-kahe zamānoñ ke
jiite jāgte lamhe
dhyān se guzarte haiñ
soch meñ utarte haiñ
par vo din nahīñ aa.e
jis meñ jāgtī taqdīr
sub.h vo nahīñ chhūTī
ḳhvāb kī jo de ta.abīr
duur se sunā ham ne
barf meñ khulī koñpal
ġharb meñ machī halchal
hurriyat huqūq afkār
zauq-e-ārzū āsār
zehn kī kamāñ-dārī
rang-nādirā-kārī
ilm us kī tāmīreñ
barq atom aahan se
jism khel sehat tak
irtiqā kī ta.abīreñ
duur sab samundar paar
apne ḳhvāb kaise haiñ
jo nazar nahīñ aate
intishār itnā hai
sau tarah kī ta.abīreñ
bachpane ki duniya thi
jis ke dam se dam leti
KHauf ki pichhal-pai
KHwab jis ki zad mein the
subh KHwab sunne par
sab buzurg kah dete
KHwab ki ye baaten hain
hum se dur bitengi
dur se sunenge hum
ab juda si duniya hai
an-kahe zamanon ke
jite jagte lamhe
dhyan se guzarte hain
soch mein utarte hain
par wo din nahin aae
jis mein jagti taqdir
subh wo nahin chhuTi
KHwab ki jo de tabir
dur se suna hum ne
barf mein khuli konpal
gharb mein machi halchal
hurriyat huquq afkar
zauq-e-arzu aasar
zehn ki kaman-dari
rang-nadira-kari
ilm us ki tamiren
barq atom aahan se
jism khel sehat tak
irtiqa ki tabiren
dur sab samundar par
apne KHwab kaise hain
jo nazar nahin aate
intishaar itna hai
sau tarah ki tabiren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.