be-talluqi
shaam hotī hai sahar hotī hai ye vaqt-e-ravāñ
jo kabhī sañg-e-girāñ ban ke mire sar pe girā
raah meñ aayā kabhī merī himāla ban kar
jo kabhī uqda banā aisā ki hal hī na huā
ashk ban kar mirī āñkhoñ se kabhī Tapkā hai
jo kabhī ḳhūn-e-jigar ban ke mizha par aayā
aaj be-vāsta yuuñ guzrā chalā jaatā hai
jaise maiñ kashmakash-e-zīst meñ shāmil hī nahīñ!
sham hoti hai sahar hoti hai ye waqt-e-rawan
jo kabhi sang-e-giran ban ke mere sar pe gira
rah mein aaya kabhi meri himala ban kar
jo kabhi uqda bana aisa ki hal hi na hua
ashk ban kar meri aankhon se kabhi Tapka hai
jo kabhi KHun-e-jigar ban ke mizha par aaya
aaj be-wasta yun guzra chala jata hai
jaise main kashmakash-e-zist mein shamil hi nahin!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.