be-wafa kaise banun
ḳhalvat-e-ġham ke darīchoñ pe ye dastak kaisī
ai mirī faḳhr-e-vafā rashk-e-chaman jān-e-hayā
dāman-e-chashm meñ hai nāma-e-ulfat jab se
dil kā har soyā huā zaḳhm mirā jaag uThā
jāñ-sipārī kī adā mujh ko sikhāne vaale
aaj ye hukm ki maiñ pyaar kā charchā na karūñ
ghaT ke rah jā.ūñ pa ruḳhsār tirī yādoñ ke
apnī taḳhayyul kī āñkhoñ se bhī chūmā na karūñ
bhuul jā.ūñ tire hoñToñ ke chhalakte sāġhar
terī āñkhoñ kī mai-e-tāb se tauba kar luuñ
nuur peshānī kā hoñToñ se churānā kaisā
abrūoñ kī jhukī mehrāb meñ aayā na karūñ
ḳhvāhish-e-sāya-e-gesū-e-pareshāñ hī nahīñ
jannat-e-āriz-o-lab kī bhī tamannā na karūñ
apnī tanhā.ī ke sunsān dar-o-bām kabhī
maiñ tire husn-e-tasavvur se sajāyā na karūñ
talḳhiyāñ ziist kī har taur chhupā.ūñ sab se
ḳhushbūeñ yaad kī sāñsoñ meñ basāyā na karūñ
ḳhvāh taḌpe ki dhaḌakne kī adā tak bhūle
dhaḌkaneñ dil kī magar tum ko sunāyā na karūñ
bhuul jā.ūñ maiñ vafādārī-e-arbāb-e-vafā
ḳhud ko patthar kā tarāshā huā insāñ samjhūñ
jis ko ehsās kī jazbāt kī daulat na mile
ḳhud ko aisī hī kisī jins kā haivāñ samjhūñ
tū agar ḳhush hai isī meñ to koī baat nahīñ
jazba-e-shauq ko jaise bhī ho samjhā.ūñgā
terī chāhat terī ulfat ko bhulāne ke liye
ho sakegā to maiñ ab jaañ se guzar jā.ūñgā
bhuul jā.ūñgā ki tum ne kabhī chāhā thā mujhe
bhuul jā.ūñgā ki tum mujh pe fidā rahte the
tum taḌap uThte the halkī sī udāsī pe mirī
mehrbāñ mujh pe sadā ban ke ḳhudā rahte the
TuuT kar chāhnā sīkhā hai tirī āñkhoñ se
bhuul jaane kī adā.eñ bhī sikhā de mujh ko
maiñ mohabbat kā pujārī huuñ vafā kā shaidā
be-vafā kaise banūñ ye to batā de mujh ko
mere ma.asūm se qātil tirā bismil āḳhir
chhoḌ de kūcha-e-qātil to kahāñ jā.egā
jis jagah hoñgī tire husn kī sham.eñ raushan
terā parvāna vahīñ aa.egā jal jā.egā
be-vafā kaise banūñ
KHalwat-e-gham ke darichon pe ye dastak kaisi
ai meri faKHr-e-wafa rashk-e-chaman jaan-e-haya
daman-e-chashm mein hai nama-e-ulfat jab se
dil ka har soya hua zaKHm mera jag uTha
jaan-sipari ki ada mujh ko sikhane wale
aaj ye hukm ki main pyar ka charcha na karun
ghaT ke rah jaun pa ruKHsar teri yaadon ke
apni taKHayyul ki aankhon se bhi chuma na karun
bhul jaun tere honTon ke chhalakte saghar
teri aankhon ki mai-e-tab se tauba kar lun
nur peshani ka honTon se churana kaisa
abruon ki jhuki mehrab mein aaya na karun
KHwahish-e-saya-e-gesu-e-pareshan hi nahin
jannat-e-ariz-o-lab ki bhi tamanna na karun
apni tanhai ke sunsan dar-o-baam kabhi
main tere husn-e-tasawwur se sajaya na karun
talKHiyan zist ki har taur chhupaun sab se
KHushbuen yaad ki sanson mein basaya na karun
KHwah taDpe ki dhaDakne ki ada tak bhule
dhaDkanen dil ki magar tum ko sunaya na karun
bhul jaun main wafadari-e-arbab-e-wafa
KHud ko patthar ka tarasha hua insan samjhun
jis ko ehsas ki jazbaat ki daulat na mile
KHud ko aisi hi kisi jins ka haiwan samjhun
tu agar KHush hai isi mein to koi baat nahin
jazba-e-shauq ko jaise bhi ho samjhaunga
teri chahat teri ulfat ko bhulane ke liye
ho sakega to main ab jaan se guzar jaunga
bhul jaunga ki tum ne kabhi chaha tha mujhe
bhul jaunga ki tum mujh pe fida rahte the
tum taDap uThte the halki si udasi pe meri
mehrban mujh pe sada ban ke KHuda rahte the
TuT kar chahna sikha hai teri aankhon se
bhul jaane ki adaen bhi sikha de mujh ko
main mohabbat ka pujari hun wafa ka shaida
be-wafa kaise banun ye to bata de mujh ko
mere masum se qatil tera bismil aaKHir
chhoD de kucha-e-qatil to kahan jaega
jis jagah hongi tere husn ki shamen raushan
tera parwana wahin aaega jal jaega
be-wafa kaise banun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.