be-yaqini
barsāt kī tez bārish se
kuchh makānoñ ko girte dekh kar
fikr lāhaq ho ga.ī
apne ghar kī
aa.e din
zalzaloñ ke jhaTkoñ se
jagah jagah
darāḌeñ paḌ chukī haiñ
chhat bhī Tapke jā rahī hai
sutūn
bhalā
kab tak
sahārā de sakte haiñ
in gharoñ ko
jo ghar
buniyād se hī hil ga.e hoñ
barsat ki tez barish se
kuchh makanon ko girte dekh kar
fikr lahaq ho gai
apne ghar ki
aae din
zalzalon ke jhaTkon se
jagah jagah
daraDen paD chuki hain
chhat bhi Tapke ja rahi hai
sutun
bhala
kab tak
sahaara de sakte hain
in gharon ko
jo ghar
buniyaad se hi hil gae hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.