be-yaqini
yuuñ to apne hī andar kā sach aur vo sach hai are tā-abad tujh ko kaafī hai
kal kī jānib se is be-yaqīnī ke saare avāriz kā shāfī hai
terī sad-samt aur be-ġharaz chhoTī chhoTī ka.ī ḳhidmatoñ kā ye pushtāra hai
be-chāra
aur us ke saath ek dard-e-nadāmat hī vaj.h-e-muāfī hai
is tarah pesh-bīnī rivāyāt aur maslahat ke munāfī hai
phir bhī
tujhe haal kā koī yak-tarfa sāhib-e-maqāl aaj jo bhī kahe
yaad ye bhī rahe
kitne hāloñ kī tārīḳh ne un ko kyā kar diyā
jis kā jitnā thā haq rafta rafta adā kar diyā
jab tirā haal maazī banegā to go agle pichhloñ pe hairat kareñge
terī ḳhud-nā-tamāmī na vāzeh huī to hikāyat shikāyat kareñge
aur kuchh laġhzishoñ kī nadāmat kareñge
magar tere sach aur tujh se bahut hī mohabbat kareñge
yun to apne hi andar ka sach aur wo sach hai are ta-abad tujh ko kafi hai
kal ki jaanib se is be-yaqini ke sare awariz ka shafi hai
teri sad-samt aur be-gharaz chhoTi chhoTi kai KHidmaton ka ye pushtara hai
be-chaara
aur us ke sath ek dard-e-nadamat hi wajh-e-muafi hai
is tarah pesh-bini riwayat aur maslahat ke munafi hai
phir bhi
tujhe haal ka koi yak-tarfa sahib-e-maqal aaj jo bhi kahe
yaad ye bhi rahe
kitne haalon ki tariKH ne un ko kya kar diya
jis ka jitna tha haq rafta rafta ada kar diya
jab tera haal mazi banega to go agle pichhlon pe hairat karenge
teri KHud-na-tamami na wazeh hui to hikayat shikayat karenge
aur kuchh laghzishon ki nadamat karenge
magar tere sach aur tujh se bahut hi mohabbat karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.