be-zaban urdu
huī jaatī hai nazr-e-shorish-e-āh-o-fuġhāñ urdu
kahe kis se yahāñ apne ġhamoñ kī dāstāñ urdu
ma.āz-allāh hai dām-e-havas meñ qaid barsoñ se
kahāñ se DhūñD ke laa.e ab apnā mehrbāñ urdu
ijāzat lab-kushā.ī kī na haq fariyād karne kā
ḳhud apne hī vatan meñ ho ga.ī hai be-zabāñ urdu
vahī karte haiñ koshish aaj urdu ko miTāne kī
sikhātī hai jinheñ mahfil meñ andāz-e-bayāñ urdu
zamīñ ab tang hotī jā rahī hai is kī urdu par
kabhī ḳhud aap apne meñ thā ye hindostāñ urdu
batā.eñ kyā ki har maqbūliyat ke ba.ad kyuuñ āḳhir
huī hai shar-pasandoñ ke liye bār-e-garāñ urdu
alāmat jang-e-āzādī meñ thī ye sarfaroshī kī
kabhī thī inqilāb-e-vaqt kā na.ara yahāñ urdu
bikhere us ne taare har taraf mehr-o-mohabbat ke
rahī har daur meñ amn-o-amāñ kī kahkashāñ urdu
diyā paiġhām us ne ektā kā bhā.ī-chāre kā
rahī dīvār ban kar nafratoñ ke darmiyāñ urdu
ġhazal ke ruup meñ ab bhī ye duniyā ko lubhātī hai
pahuñchtī hai jahāñ par bāñdh detī hai samāñ urdu
hazāroñ log rahbar roTiyāñ urdu kī khāte haiñ
magar hai kaun jo dekhe ki kyuuñ hai nīm-jāñ urdu
hui jati hai nazr-e-shorish-e-ah-o-fughan urdu
kahe kis se yahan apne ghamon ki dastan urdu
maaz-allah hai dam-e-hawas mein qaid barson se
kahan se DhunD ke lae ab apna mehrban urdu
ijazat lab-kushai ki na haq fariyaad karne ka
KHud apne hi watan mein ho gai hai be-zaban urdu
wahi karte hain koshish aaj urdu ko miTane ki
sikhati hai jinhen mahfil mein andaz-e-bayan urdu
zamin ab tang hoti ja rahi hai is ki urdu par
kabhi KHud aap apne mein tha ye hindostan urdu
bataen kya ki har maqbuliyat ke baad kyun aaKHir
hui hai shar-pasandon ke liye bar-e-garan urdu
alamat jang-e-azadi mein thi ye sarfaroshi ki
kabhi thi inqilab-e-waqt ka nara yahan urdu
bikhere us ne tare har taraf mehr-o-mohabbat ke
rahi har daur mein amn-o-aman ki kahkashan urdu
diya paigham us ne ekta ka bhai-chaare ka
rahi diwar ban kar nafraton ke darmiyan urdu
ghazal ke rup mein ab bhi ye duniya ko lubhati hai
pahunchti hai jahan par bandh deti hai saman urdu
hazaron log rahbar roTiyan urdu ki khate hain
magar hai kaun jo dekhe ki kyun hai nim-jaan urdu
- Book : Raqs-e-Qalam (Pg. 24)
- Author : Rehbar Jaunpuri
- Publication : Mohammad Tariq and Aabshar Ahmad, Shahwar Ahmad (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.