bebasi
maiñ ne chāhā thā ki tāroñ kī bujhā duuñ sham.eñ
nikhat-o-nūr ke sāñche meñ jo dekhā thā use
kaun kar saktā hai inkār-e-vajūd
maiñ ne dekhī haiñ lachaktī huī bāñheñ us kī
marmarīñ shānoñ pe bikhrī huī mushkīñ zulfeñ
ras bhare hoñT
rasīlī āñkheñ
tāb-e-nazāra na muusā ko huī kyoñ hotī
us kī āñkhoñ meñ the sahme hue jazbāt nihāñ
kaash us ne mire mahbūb ko dekhā hotā
kaash muusā kā ḳhudā merā raqīb
mere mahbūb ke hote bhī ḳhudā.ī kartā
haa.e ye bebasī aur majbūrī
bar-sar-e-tūr meñ raushan taare
maiñ ne chāhā thā ki tāroñ kī bujhā duuñ sham.eñ
main ne chaha tha ki taron ki bujha dun shamen
nikhat-o-nur ke sanche mein jo dekha tha use
kaun kar sakta hai inkar-e-wajud
main ne dekhi hain lachakti hui banhen us ki
marmarin shanon pe bikhri hui mushkin zulfen
ras bhare honT
rasili aankhen
tab-e-nazara na musa ko hui kyon hoti
us ki aankhon mein the sahme hue jazbaat nihan
kash us ne mere mahbub ko dekha hota
kash musa ka KHuda mera raqib
mere mahbub ke hote bhi KHudai karta
hae ye bebasi aur majburi
bar-sar-e-tur mein raushan tare
main ne chaha tha ki taron ki bujha dun shamen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.