bebasi
vaqt ke tez gaam dariyā meñ
tū kisī mauj kī tarah ubhrī
āñkhoñ āñkhoñ meñ ho ga.ī ojhal
aur maiñ ek bulbule kī tarah
isī dariyā ke ik kināre par
narkuloñ ke muhīb jhāve meñ
aisā uljhā ki ye bhī bhuul gayā
bulbule kī bisāt hī kyā thī
waqt ke tez gam dariya mein
tu kisi mauj ki tarah ubhri
aankhon aankhon mein ho gai ojhal
aur main ek bulbule ki tarah
isi dariya ke ek kinare par
narkulon ke muhib jhawe mein
aisa uljha ki ye bhi bhul gaya
bulbule ki bisat hi kya thi
- Book : Mausam Andar Bahar ke (Pg. 62)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.