KHud-faramoshi
chalā thā ghar se ki bachche kī fees denī thī
kahā thā biivī ne bech aa.uuñ bāliyāñ us kī
ki ghar kā ḳharch chale aur davā bhī aa jaa.e
savāl ye hai ki kyā ilm ne diyā ab tak
bajā.e kal ke agar aaj mar ga.e to kyā
zamīñ pe kitne masā.il haiñ aadmī ke liye
ḳhayāl aayā chalo aaj jab ki zinda haiñ
chaḌhā ke ā.eñge do phuul gor-e-mādar pe
ki chāñd meñ to kisī maañ kī qabr kyā hogī
na jaane kyā huā jab ghar pahuñch gayā apne
batāyā biivī ne phir aaj pī ke aayā huuñ
chala tha ghar se ki bachche ki fees deni thi
kaha tha biwi ne bech aaun baaliyan us ki
ki ghar ka KHarch chale aur dawa bhi aa jae
sawal ye hai ki kya ilm ne diya ab tak
bajae kal ke agar aaj mar gae to kya
zamin pe kitne masail hain aadmi ke liye
KHayal aaya chalo aaj jab ki zinda hain
chaDha ke aaenge do phul gor-e-madar pe
ki chand mein to kisi man ki qabr kya hogi
na jaane kya hua jab ghar pahunch gaya apne
bataya biwi ne phir aaj pi ke aaya hun
- Book : shab-khoon(shumara-number-38) (Pg. 14)
- Edition : 1969
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.