bechaini
ḳhayāl-o-ḳhvāb-o-aqā.ed kī sehar-kārī tak
ghuTe ghuTe se shab-o-roz the bujhī sī fazā
na jānñe se chalī baat jānñe kī taraf
sukūt-e-maut hai lekin sukūt ḳhatm huā
junūñ-sarisht se jazbe amal kī rāhoñ meñ
libās oḌhe hue azm kā nikalte haiñ
ḳhirad ke des meñ tanzīm zindagī le kar
bahut hī kam haiñ jo aise sañvar ke chalte haiñ
hayāt ek safar hai bahut aziim safar
gurez-o-jazb meñ Duubā huā hai har lamha
bahut aziiz hai jo fikr kaam aa jaa.e
ki us se baḌh ke kahāñ vaqt kā koī hadiya
hayāt sūd-o-ziyāñ se navisht rahtī hai
hayāt sūd-o-ziyāñ ke jahāñ kā mehvar hai
kabhī hai dil kā zarar yaañ kabhī hai jaañ ko sakūñ
kabhī davā hai kabhī zaḳhm-e-dil pe nashtar hai
hayāt rāh-e-aziyyat hai apnī manzil meñ
magar ye rāh-e-aziyyat tamām hone tak
na jaane kitnī umañgoñ kā ḳhuun ho jaa.e
koī to pyaas bujhe jashn-e-jām hone tak
KHayal-o-KHwab-o-aqaed ki sehar-kari tak
ghuTe ghuTe se shab-o-roz the bujhi si faza
na jaanne se chali baat jaanne ki taraf
sukut-e-maut hai lekin sukut KHatm hua
junun-sarisht se jazbe amal ki rahon mein
libas oDhe hue azm ka nikalte hain
KHirad ke des mein tanzim zindagi le kar
bahut hi kam hain jo aise sanwar ke chalte hain
hayat ek safar hai bahut azim safar
gurez-o-jazb mein Duba hua hai har lamha
bahut aziz hai jo fikr kaam aa jae
ki us se baDh ke kahan waqt ka koi hadiya
hayat sud-o-ziyan se nawisht rahti hai
hayat sud-o-ziyan ke jahan ka mehwar hai
kabhi hai dil ka zarar yan kabhi hai jaan ko sakun
kabhi dawa hai kabhi zaKHm-e-dil pe nashtar hai
hayat rah-e-aziyyat hai apni manzil mein
magar ye rah-e-aziyyat tamam hone tak
na jaane kitni umangon ka KHun ho jae
koi to pyas bujhe jashn-e-jam hone tak
- Veeraniyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.