surKH gulab aur badar-e-munir
ai dil pahle bhī tanhā the, ai dil ham tanhā aaj bhī haiñ
aur un zaḳhmoñ aur dāġhoñ se ab apnī bāteñ hotī haiñ
jo zaḳhm ki surḳh gulāb hue, jo daaġh ki badar-e-munīr hue
is tarha se kab tak jiinā hai, maiñ haar gayā is jiine se
koī abr uḌe kisī qulzum se ras barse mire vīrāne par
koī jāgtā ho koī kuḌhtā ho mire der se vāpas aane par
koī saañs bhare mire pahlū meñ koī haath dhare mire shāne par
aur dabe dabe lahje meñ kahe tum ne ab tak baḌe dard sahe
tum tanhā tanhā jalte rahe tum tanhā tanhā chalte rahe
suno tanhā chalnā khel nahīñ, chalo aao mire ham-rāh chalo
chalo na.e safar par chalte haiñ, chalo mujhe banā ke gavāh chalo
ai dil pahle bhi tanha the, ai dil hum tanha aaj bhi hain
aur un zaKHmon aur daghon se ab apni baaten hoti hain
jo zaKHm ki surKH gulab hue, jo dagh ki badar-e-munir hue
is tarha se kab tak jina hai, main haar gaya is jine se
koi abr uDe kisi qulzum se ras barse mere virane par
koi jagta ho koi kuDhta ho mere der se wapas aane par
koi sans bhare mere pahlu mein koi hath dhare mere shane par
aur dabe dabe lahje mein kahe tum ne ab tak baDe dard sahe
tum tanha tanha jalte rahe tum tanha tanha chalte rahe
suno tanha chalna khel nahin, chalo aao mere ham-rah chalo
chalo nae safar par chalte hain, chalo mujhe bana ke gawah chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.