majburiyan
maiñ aa.heñ bhar nahīñ saktā ki naġhme gā nahīñ saktā
sakūñ lekin mire dil ko mayassar aa nahīñ saktā
koī naġhme to kyā ab mujh se merā saaz bhī le le
jo gaanā chāhtā huuñ aah vo maiñ gā nahīñ saktā
matā-e-soz-o-sāz-e-zindagī paimāna o barbat
maiñ ḳhud ko in khilaunoñ se bhī ab bahlā nahīñ saktā
vo bādal sar pe chhā.e haiñ ki sar se haT nahīñ sakte
milā hai dard vo dil ko ki dil se jā nahīñ saktā
havas-kārī hai jurm-e-ḳhud-kushī merī sharī.at meñ
ye hadd-e-āḳhirī hai maiñ yahāñ tak jā nahīñ saktā
na tūfāñ rok sakte haiñ na āñdhī rok saktī hai
magar phir bhī maiñ us qasr-e-hasīñ tak jā nahīñ saktā
vo mujh ko chāhtī hai aur mujh tak aa nahīñ saktī
maiñ us ko pūjtā huuñ aur us ko pā nahīñ saktā
ye majbūrī sī majbūrī ye lāchārī sī lāchārī
ki us ke giit bhī dil khol kar maiñ gā nahīñ saktā
zabāñ par be-ḳhudī meñ naam us kā aa hī jaatā hai
agar pūchhe koī ye kaun hai batlā nahīñ saktā
kahāñ tak qissa-e-ālām-e-furqat muḳhtasar ye hai
yahāñ vo aa nahīñ saktī vahāñ maiñ jā nahīñ saktā
hadeñ vo khīñch rakkhī haiñ haram ke pāsbānoñ ne
ki bin mujrim bane paiġhām bhī pahuñchā nahīñ saktā
main aahen bhar nahin sakta ki naghme ga nahin sakta
sakun lekin mere dil ko mayassar aa nahin sakta
koi naghme to kya ab mujh se mera saz bhi le le
jo gana chahta hun aah wo main ga nahin sakta
mata-e-soz-o-saz-e-zindagi paimana o barbat
main KHud ko in khilaunon se bhi ab bahla nahin sakta
wo baadal sar pe chhae hain ki sar se haT nahin sakte
mila hai dard wo dil ko ki dil se ja nahin sakta
hawas-kari hai jurm-e-KHud-kushi meri shariat mein
ye hadd-e-aKHiri hai main yahan tak ja nahin sakta
na tufan rok sakte hain na aandhi rok sakti hai
magar phir bhi main us qasr-e-hasin tak ja nahin sakta
wo mujh ko chahti hai aur mujh tak aa nahin sakti
main us ko pujta hun aur us ko pa nahin sakta
ye majburi si majburi ye lachaari si lachaari
ki us ke git bhi dil khol kar main ga nahin sakta
zaban par be-KHudi mein nam us ka aa hi jata hai
agar puchhe koi ye kaun hai batla nahin sakta
kahan tak qissa-e-alam-e-furqat muKHtasar ye hai
yahan wo aa nahin sakti wahan main ja nahin sakta
haden wo khinch rakkhi hain haram ke pasbanon ne
ki bin mujrim bane paigham bhi pahuncha nahin sakta
- Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 85)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.