KHalwat
mujhe tum apnī bāñhoñ meñ jakaḌ lo aur maiñ tum ko
kisī bhī dil-kushā jazbe se yaksar nā-shanāsāna
nashāt-e-rañg kī sarshārī-e-hālat se begāna
mujhe tum apnī bāñhoñ meñ jakaḌ lo aur maiñ tum ko
fusūñ-kārā nigārā nau-bahārā ārzū-ārā
bhalā lamhoñ kā merī aur tumhārī ḳhvāb-parvar
ārzū-mandī kī sarshārī se kyā rishta
hamārī bāhamī yādoñ kī dildārī se kyā rishta
mujhe tum apnī bāñhoñ meñ jakaḌ lo aur maiñ tum ko
yahāñ ab tīsrā koī nahīñ ya.anī mohabbat bhī
mujhe tum apni banhon mein jakaD lo aur main tum ko
kisi bhi dil-kusha jazbe se yaksar na-shanasana
nashat-e-rang ki sarshaari-e-haalat se begana
mujhe tum apni banhon mein jakaD lo aur main tum ko
fusun-kara nigara nau-bahaara aarzu-ara
bhala lamhon ka meri aur tumhaari KHwab-parwar
aarzu-mandi ki sarshaari se kya rishta
hamari bahami yaadon ki dildari se kya rishta
mujhe tum apni banhon mein jakaD lo aur main tum ko
yahan ab tisra koi nahin yani mohabbat bhi
- Book : yani (Pg. 145)
- Author : jaun eliya
- Publication : farid book depot (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.