bela
kis qadar dil-fareb hai belā
ḳhushnumā dil-pazīr albelā
hai bharā is kī zaat se gulzār
dīdanī shaam ko hai is kī bahār
is kā paudā falak se bartar hai
is kā har phuul rashk-e-aḳhtar hai
shauq se is ko toḌ laate haiñ
log hamdam ise banāte haiñ
husn-afzā-e-mah-jabīnāñ hai
raunaq-e-mahfil-e-hasīnāñ hai
is se paate haiñ taqviyat armāñ
bazm-e-ishrat kī hai ye rūh-e-ravāñ
bū-e-ḳhush is kī dil ko bhātī hai
tāzgī is se ruuh paatī hai
is kā rang-e-sabīh aafat hai
is kī sūrat ḳhudā kī qudrat hai
kis qadar dil-fareb hai bela
KHushnuma dil-pazir albela
hai bhara is ki zat se gulzar
didani sham ko hai is ki bahaar
is ka pauda falak se bartar hai
is ka har phul rashk-e-aKHtar hai
shauq se is ko toD late hain
log hamdam ise banate hain
husn-afza-e-mah-jabinan hai
raunaq-e-mahfil-e-hasinan hai
is se pate hain taqwiyat arman
bazm-e-ishrat ki hai ye ruh-e-rawan
bu-e-KHush is ki dil ko bhati hai
tazgi is se ruh pati hai
is ka rang-e-sabih aafat hai
is ki surat KHuda ki qudrat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.