beradaran-e-watan se
mulk kī hālat pe sīnoñ se dhuāñ uThtā nahīñ
sāz-e-dil ḳhāmosh haiñ shor-e-fuġhāñ uThtā nahīñ
kis liye āñkhoñ se tūfān-e-nihāñ uThtā nahīñ
phuul rauñde jā rahe haiñ bāġhbāñ uThtā nahīñ
be-hisī kī intihā hai hosh meñ aate nahīñ
zillatoñ par zillateñ hotī haiñ sharmāte nahīñ
sho.ala-e-ehsās bujhtā hai havā de do use
qaumiyat dam toḌtī hai kuchh davā de do use
mulk miTne ko hai paiġhām-e-baqā de do use
mutma.in baiThe ho dil siine meñ ghabrātā nahīñ
qaum ke dam toḌne par bhī taras aatā nahīñ
saañs le kar is fazā meñ ruuh ghabrātī nahīñ
jauhar-e-ehsās-e-ḳhuddārī ko sharm aatī nahīñ
tum ko nādārī vatan kī ḳhaak taḌpātī nahīñ
ye ġhulāmī kī balā hairat hai khā jaatī nahīñ
zindagī ko dāvat-e-sad-marg denā chāhiye
maut kī āġhosh meñ ārām lenā chāhiye
chhoḌ do nākāmī-e-qismat ke shikve chhoḌ do
kuchh bhī himmat hai to ye tauq-o-salāsil toḌ do
auj kī jānib nigāh-e-sharmagīñ ko moḌ do
rif.at-e-māzī se phir taqdīr-e-fardā joḌ do
sach to ye hai qaum ke bas tum alam-bardār ho
tā-ba-kai ye ḳhvāb-e-ġhaflat so chuke bedār ho
mulk ki haalat pe sinon se dhuan uThta nahin
saz-e-dil KHamosh hain shor-e-fughan uThta nahin
kis liye aankhon se tufan-e-nihan uThta nahin
phul raunde ja rahe hain baghban uThta nahin
be-hisi ki intiha hai hosh mein aate nahin
zillaton par zillaten hoti hain sharmate nahin
shoala-e-ehsas bujhta hai hawa de do use
qaumiyat dam toDti hai kuchh dawa de do use
mulk miTne ko hai paigham-e-baqa de do use
mutmain baiThe ho dil sine mein ghabraata nahin
qaum ke dam toDne par bhi taras aata nahin
sans le kar is faza mein ruh ghabraati nahin
jauhar-e-ehsas-e-KHuddari ko sharm aati nahin
tum ko nadari watan ki KHak taDpati nahin
ye ghulami ki bala hairat hai kha jati nahin
zindagi ko dawat-e-sad-marg dena chahiye
maut ki aaghosh mein aaram lena chahiye
chhoD do nakaami-e-qismat ke shikwe chhoD do
kuchh bhi himmat hai to ye tauq-o-salasil toD do
auj ki jaanib nigah-e-sharmagin ko moD do
rifat-e-mazi se phir taqdir-e-farda joD do
sach to ye hai qaum ke bas tum alam-bardar ho
ta-ba-kai ye KHwab-e-ghaflat so chuke bedar ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.