beTiyan
dil kī ThanDak aur āñkhoñ kī ziyā haiñ beTiyāñ
jal ke ḳhud jo raushnī de vo diyā haiñ beTiyāñ
koī pūchhe qadr un se jo yahāñ mahrūm haiñ
vo samajhte haiñ batā.eñge ki kyā haiñ beTiyāñ
haiñ parāyā dhan magar apnī hī rahtī haiñ sadā
baḌh ke beToñ se buḌhāpe kā asā haiñ beTiyāñ
beTiyoñ ko baar samjhe jo baḌā bad-baḳht hai
rahmat-e-rabbī haiñ allāh kī razā haiñ beTiyāñ
ghar kī ḳhushiyāñ raunaqeñ sab in ke dam se haiñ ravāñ
jo nasīboñ ko badal de vo duā haiñ beTiyāñ
dil ki ThanDak aur aankhon ki ziya hain beTiyan
jal ke KHud jo raushni de wo diya hain beTiyan
koi puchhe qadr un se jo yahan mahrum hain
wo samajhte hain bataenge ki kya hain beTiyan
hain paraya dhan magar apni hi rahti hain sada
baDh ke beTon se buDhape ka asa hain beTiyan
beTiyon ko bar samjhe jo baDa bad-baKHt hai
rahmat-e-rabbi hain allah ki raza hain beTiyan
ghar ki KHushiyan raunaqen sab in ke dam se hain rawan
jo nasibon ko badal de wo dua hain beTiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.