bewa
aaj le rishta-e-paimān-e-vafā TuuT gayā
tujh se ab tere tasavvur kā ḳhudā ruuTh gayā
ab koī kaagā munDerī pe nahīñ bolegā
koī harkāra tirā ḳhat bhī nahīñ lā.egā
koī paiġhām-e-zabānī bhī nahīñ aa.egā
log ab zaḳhm pe marham bhī na rakhne deñge
din-ba-din zaḳhm tire aur bhī gahre hoñge
terī har raah ke har moḌ pe pahre hoñge
kis ko mālūm ki kab tere shikasta dil par
kaun kah saktā hai kis vaqt qayāmat aa jaa.e
vaqt ke haath meñ kab sang-e-malāmat aa jaa.e
aaj le rishta-e-paiman-e-wafa TuT gaya
tujh se ab tere tasawwur ka KHuda ruTh gaya
ab koi kaga munDeri pe nahin bolega
koi harkara tera KHat bhi nahin laega
koi paigham-e-zabani bhi nahin aaega
log ab zaKHm pe marham bhi na rakhne denge
din-ba-din zaKHm tere aur bhi gahre honge
teri har rah ke har moD pe pahre honge
kis ko malum ki kab tere shikasta dil par
kaun kah sakta hai kis waqt qayamat aa jae
waqt ke hath mein kab sang-e-malamat aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.