bewa ki KHud-kushi
ye añdherī raat ye saarī fazā soī huī
pattī pattī manzar-e-ḳhāmosh meñ khoī huī
maujzan hai bahr-e-zulmat tīrgī kā josh hai
shaam hī se aaj qindīl-e-falak ḳhāmosh hai
chand taare haiñ bhī to be-nūr pathrā.e hue
jaise baasī haar meñ hoñ phuul kumhlā.e hue
khap gayā hai yuuñ ghaTā meñ chāñdnī kā saaf rañg
jis tarah māyūsiyoñ meñ dab ke rah jaa.e umañg
umDī hai kaalī ghaTā duniyā Dubone ke liye
yā chalī hai baal khole raañD rone ke liye
jitnī hai gunjān bastī utnī hī vīrān hai
har galī ḳhāmosh hai har rāsta sunsān hai
ik makāñ se bhī makīñ kī kuchh ḳhabar miltī nahīñ
chilmaneñ uThtī nahīñ zanjīr-e-dar hiltī nahīñ
so rahe haiñ mast-o-be-ḳhud ghar ke kul pīr-o-javāñ
ho ga.ī haiñ band husn-o-ishq meñ sargoshiyāñ
haañ magar ik samt ik goshe meñ koī nauhagar
le rahī hai karvaToñ par karvaTeñ dil thaam kar
dil sambhaltā hī nahiñ hai sīna-e-sad-chāk meñ
phuul sā chehra aTā hai bevgī kī ḳhaak meñ
uḌ chalī hai rañg-e-ruḳh ban kar hayāt-e-musta.ār
ho rahā hai qalb-e-murda meñ javānī kā fishār
hasrateñ dam toḌtī haiñ yaas kī āġhosh meñ
saikḌoñ shikve machalte haiñ lab-e-ḳhāmosh meñ
umr āmāda nahīñ murda-parastī ke liye
baar hai ye zinda mayyat dosh-e-hastī ke liye
chāhtī hai laakh qaabū dil pe paatī hī nahīñ
hā.e-re zālim javānī bas meñ aatī hī nahīñ
thartharā kar girtī hai jab suune bistar par nazar
le ke ik karvaT paTak detī hai vo takiya pe sir
jab khanak uThtī haiñ sotī laḌkiyoñ kī chūḌiyāñ
aah ban kar uThne lagtā hai kaleja se dhuāñ
ho ga.ī beva kī ḳhātir niiñd bhī jaise harām
muḳhtasar sā ahd-e-vaslat de gayā soz-e-davām
dopahar kī chhāñv daur-e-shādmānī ho gayā
pyaas bhī bujhne na paa.ī ḳhatm paanī ho gayā
le rahī hai karvaToñ par karvaTeñ bā-iztirār
aag meñ paara hai yā bistar pe jism-e-be-qarār
paḌ ga.ī ik aah kar ke ro ke uTh baiThī kabhī
uñgliyoñ meñ le ke zulf-e-ḳham-ba-ḳham aiñThī kabhī
aa ke hoñToñ par kabhī māyūs aaheñ tham ga.iiñ
aur kabhī suunī kalā.ī par nigāheñ jam ga.iiñ
itnī duniyā meñ kahīñ apnī jagah paatī nahīñ
yaas is had kī ki shauhar kī bhī yaad aatī nahīñ
aa rahe haiñ yaad paiham saas nandoñ ke sulūk
phaT rahā hai ġham se siina uTh rahī hai dil meñ huuk
apnī maañ bahnoñ kā bhī āñkheñ churānā yaad hai
aisī duniyā meñ kisī kā chhoḌ jaanā yaad hai
bāġhbāñ to qabr meñ hai kaun ab dekhe bahār
ḳhud usī ko tiir us ke karne vaale haiñ shikār
jab nazar aatā nahīñ detā koī bekas kā saath
zahr kī shīshī kī jānib ḳhud-ba-ḳhud baḌhtā hai haath
dil taḌap kar kah rahā hai jald is duniyā ko chhoḌ
chūḌiyāñ toḌīñ to phir zanjīr-e-hastī ko bhī toḌ
dam agar niklā to khoī zindagī mil jā.egī
ye nahiñ to ḳhair tanhā qabr hī mil jā.egī
vaañ tujhe zillat kī nazroñ se na dekhegā koī
chāhe hañsnā chāhe ronā phir na rokegā koī
vaañ sab ahl-e-dard haiñ sab sāhab-e-insāf haiñ
rahbar aage jā chukā rāheñ bhī terī saaf haiñ
dil inhīñ bātoñ meñ uljhā thā ki dam ghabrā gayā
haath le kar zahr kī shīshī laboñ tak aa gayā
tilmilātī aañkh jhapkātī jhijaktī hāñptī
pī ga.ī kul zahr āḳhir thartharātī kāñptī
maut ne jhaTkā diyā kul uzv Dhīle ho ga.e
saañs ukhḌī, nabz Dūbī, hoñT niile ho ga.e
aañkh jhapkī ashk Tapkā hichkī aa.ī kho ga.ī
maut kī āġhosh meñ ik aah bhar kar so ga.ī
aur kar ik aah sulge hind kī rasmoñ kā daam
ai javānā-marg beva tujh pe 'kaifī' kā salām
ye andheri raat ye sari faza soi hui
patti patti manzar-e-KHamosh mein khoi hui
maujzan hai bahr-e-zulmat tirgi ka josh hai
sham hi se aaj qindil-e-falak KHamosh hai
chand tare hain bhi to be-nur pathrae hue
jaise basi haar mein hon phul kumhlae hue
khap gaya hai yun ghaTa mein chandni ka saf rang
jis tarah mayusiyon mein dab ke rah jae umang
umDi hai kali ghaTa duniya Dubone ke liye
ya chali hai baal khole ranD rone ke liye
jitni hai gunjaan basti utni hi viran hai
har gali KHamosh hai har rasta sunsan hai
ek makan se bhi makin ki kuchh KHabar milti nahin
chilmanen uThti nahin zanjir-e-dar hilti nahin
so rahe hain mast-o-be-KHud ghar ke kul pir-o-jawan
ho gai hain band husn-o-ishq mein sargoshiyan
han magar ek samt ek goshe mein koi nauhagar
le rahi hai karwaTon par karwaTen dil tham kar
dil sambhalta hi nahin hai sina-e-sad-chaak mein
phul sa chehra aTa hai bewgi ki KHak mein
uD chali hai rang-e-ruKH ban kar hayat-e-mustaar
ho raha hai qalb-e-murda mein jawani ka fishaar
hasraten dam toDti hain yas ki aaghosh mein
saikDon shikwe machalte hain lab-e-KHamosh mein
umr aamada nahin murda-parasti ke liye
bar hai ye zinda mayyat dosh-e-hasti ke liye
chahti hai lakh qabu dil pe pati hi nahin
hae-re zalim jawani bas mein aati hi nahin
tharthara kar girti hai jab sune bistar par nazar
le ke ek karwaT paTak deti hai wo takiya pe sir
jab khanak uThti hain soti laDkiyon ki chuDiyan
aah ban kar uThne lagta hai kaleja se dhuan
ho gai bewa ki KHatir nind bhi jaise haram
muKHtasar sa ahd-e-waslat de gaya soz-e-dawam
dopahar ki chhanw daur-e-shadmani ho gaya
pyas bhi bujhne na pai KHatm pani ho gaya
le rahi hai karwaTon par karwaTen ba-iztirar
aag mein para hai ya bistar pe jism-e-be-qarar
paD gai ek aah kar ke ro ke uTh baiThi kabhi
ungliyon mein le ke zulf-e-KHam-ba-KHam ainThi kabhi
aa ke honTon par kabhi mayus aahen tham gain
aur kabhi suni kalai par nigahen jam gain
itni duniya mein kahin apni jagah pati nahin
yas is had ki ki shauhar ki bhi yaad aati nahin
aa rahe hain yaad paiham sas nandon ke suluk
phaT raha hai gham se sina uTh rahi hai dil mein huk
apni man bahnon ka bhi aankhen churana yaad hai
aisi duniya mein kisi ka chhoD jaana yaad hai
baghban to qabr mein hai kaun ab dekhe bahaar
KHud usi ko tir us ke karne wale hain shikar
jab nazar aata nahin deta koi bekas ka sath
zahr ki shishi ki jaanib KHud-ba-KHud baDhta hai hath
dil taDap kar kah raha hai jald is duniya ko chhoD
chuDiyan toDin to phir zanjir-e-hasti ko bhi toD
dam agar nikla to khoi zindagi mil jaegi
ye nahin to KHair tanha qabr hi mil jaegi
wan tujhe zillat ki nazron se na dekhega koi
chahe hansna chahe rona phir na rokega koi
wan sab ahl-e-dard hain sab sahab-e-insaf hain
rahbar aage ja chuka rahen bhi teri saf hain
dil inhin baaton mein uljha tha ki dam ghabra gaya
hath le kar zahr ki shishi labon tak aa gaya
tilmilati aankh jhapkati jhijakti hanpti
pi gai kul zahr aaKHir thartharaati kanpti
maut ne jhaTka diya kul uzw Dhile ho gae
sans ukhDi, nabz Dubi, honT nile ho gae
aankh jhapki ashk Tapka hichki aai kho gai
maut ki aaghosh mein ek aah bhar kar so gai
aur kar ek aah sulge hind ki rasmon ka dam
ai jawana-marg bewa tujh pe 'kaifi' ka salam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.