bhagalpur-1
vo muazzin thā
zarā sī der ko aa yā thā apne ghar
ye kahne ko
ki koī shor ho dastak ho
darvāza na khologī
darīche band rakkhogī
havā.eñ shahr kī badlī huī haiñ
yahī tākīd kar ke vo vāpas ho gayā thā
aur apnī koTharī meñ band
us kī kāñptī biivī
kaleje se lagā.e nanhe bachchoñ ko
kisī sahmī huī chiḌiyā kī sūrat
par sameTe dam-ba-ḳhud baiThī rahī
na jaane raat ke kitne pahar biite
fajr hone ko aa.ī
bashārat baañg kī sūrat
kisī murġhe ne dī thī sub.h hone kī
magar masjid ke mimbar se
bilā-nāġha buland hotī
mo.azzin kī sadā chup thī
azān-e-sub.h ġhā.eb thī
wo muazzin tha
zara si der ko aa ya tha apne ghar
ye kahne ko
ki koi shor ho dastak ho
darwaza na khologi
dariche band rakkhogi
hawaen shahr ki badli hui hain
yahi takid kar ke wo wapas ho gaya tha
aur apni koThari mein band
us ki kanpti biwi
kaleje se lagae nanhe bachchon ko
kisi sahmi hui chiDiya ki surat
par sameTe dam-ba-KHud baiThi rahi
na jaane raat ke kitne pahar bite
fajr hone ko aai
bashaarat bang ki surat
kisi murghe ne di thi subh hone ki
magar masjid ke mimbar se
bila-nagha buland hoti
moazzin ki sada chup thi
azan-e-subh ghaeb thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.