bhaalu wala
dekho dekho bhālū aayā
apne saath madārī laayā
chhoTe chhoTe bachche aa.e
aaTā paisa saath vo laa.e
sab ko khel tamāsha pyārā
jīvan kā ye ek sahārā
bol uThā lo Damrū vaalā
pīchhe pīchhe hū lū lā lā
dekho kisī ko kaaT na khā.eñ
ham mazdūr na maare jaa.eñ
kaalū laalū kā ye joḌā
tā.ū-jī kuchh haT ke thoḌā
bol rahā hai bhālū vaalā
dekh rahe haiñ ḳhālū ḳhāla
charḳha bhī vo achchhā kaate
hañste hañste bal paḌ jaate
bhūkā peT dikhātā hai vo
sab ko ḳhuub hañsātā hai vo
pher ke ham ko haath batātā
so kar us jā vo mar jaatā
phir uThtā hai kahtā hai vo
saare dukh-sukh sahtā hai vo
sab kuchh hai ye peT kā dhanda
varna in kā haal hai manda
dekho dekho bhaalu aaya
apne sath madari laya
chhoTe chhoTe bachche aae
aaTa paisa sath wo lae
sab ko khel tamasha pyara
jiwan ka ye ek sahaara
bol uTha lo Damru wala
pichhe pichhe hu lu la la
dekho kisi ko kaT na khaen
hum mazdur na mare jaen
kalu lalu ka ye joDa
tau-ji kuchh haT ke thoDa
bol raha hai bhaalu wala
dekh rahe hain KHalu KHala
charKHa bhi wo achchha kate
hanste hanste bal paD jate
bhuka peT dikhata hai wo
sab ko KHub hansata hai wo
pher ke hum ko hath batata
so kar us ja wo mar jata
phir uThta hai kahta hai wo
sare dukh-sukh sahta hai wo
sab kuchh hai ye peT ka dhanda
warna in ka haal hai manda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.