bhaarat ka nishan
aao manā.eñ ham sab mil kar ab jashn-e-āzādī
des kā jhanDā ūñchā rakkheñ haath baneñ faulādī
pūrab meñ phir lahrā uTThā amn-o-amāñ kā parcham
barg-e-gul par naach rahī hai motī jaisī shabnam
nadiyoñ ne phir chheḌ diyā hai āzādī kā sargam
aao manā.eñ ham sab mil kar ab jashn-e-āzādī
des kā jhanDā ūñchā rakkheñ haath baneñ faulādī
āzādī kī ḳhātir dī hai ham sab ne qurbānī
abul-kalām aur nehru jaise netā the lā-sānī
un ke azm ke aage ho ga.e dushman paanī paanī
aao manā.eñ ham sab mil kar ab jashn-e-āzādī
des kā jhanDā ūñchā rakkheñ haath baneñ faulādī
maazī ke ġham aaj bhulā kar mustaqbil chamkā.eñ
aapas ke sab bhed miTā kar pyaar ke naġhme gaa.eñ
gañg-o-jaman kī is dhartī ko phūloñ se mahkā.eñ
aao manā.eñ ham sab mil kar ab jashn-e-āzādī
des kā jhanDā ūñchā rakkheñ haath baneñ faulādī
aao manaen hum sab mil kar ab jashn-e-azadi
des ka jhanDa uncha rakkhen hath banen fauladi
purab mein phir lahra uTTha amn-o-aman ka parcham
barg-e-gul par nach rahi hai moti jaisi shabnam
nadiyon ne phir chheD diya hai aazadi ka sargam
aao manaen hum sab mil kar ab jashn-e-azadi
des ka jhanDa uncha rakkhen hath banen fauladi
aazadi ki KHatir di hai hum sab ne qurbani
abul-kalam aur nehru jaise neta the la-sani
un ke azm ke aage ho gae dushman pani pani
aao manaen hum sab mil kar ab jashn-e-azadi
des ka jhanDa uncha rakkhen hath banen fauladi
mazi ke gham aaj bhula kar mustaqbil chamkaen
aapas ke sab bhed miTa kar pyar ke naghme gaen
gang-o-jaman ki is dharti ko phulon se mahkaen
aao manaen hum sab mil kar ab jashn-e-azadi
des ka jhanDa uncha rakkhen hath banen fauladi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.