bhaarat ke naujawanon se appeal
suno mādar-e-hind ke nau-nihālo
sadāqat pe gardan kaTā lene vaalo
uTho ḳhvāb-e-ġhaflat miTā lo miTā lo
kamar-basta ho jaao himmat baḌhā lo
tumheñ gām-e-himmat baḌhānā paḌegā
vatan kā muqaddar jagānā paḌegā
taraqqī kā bhārat kī naġhma sunā do
mohabbat kī gañgā diloñ meñ bahā do
jo ḳhufta haiñ muddat se un ko jagā do
sadāqat kā dīdoñ kī Dañkā bajā do
karo jald sairāb ujḌe chaman ko
lageñ chaar chāñd aaj apne vatan ko
paḌe haiñ kahīñ diin kī jaañ ke laale
kahīñ dil hilāte haiñ bekas ke naale
hue haiñ kahīñ nīm-jāñ bhole bhāle
musībat ke chakkar meñ haiñ hind vaale
chalā hai kisī ke kaleje pe nashtar
dhuāñ aah kā hai kisī ke laboñ par
bharosa zamīñ kā na charḳh-e-kuhan kā
tavakkul hai parmātmā par vatan kā
nazāra hai gulzār kishvar meñ ban kā
huā ḳhaar har phuul apne chaman kā
na chhoḌo magar hausla sher mardo
uTho beḌā mañjhdār se paar kar do
shikāyat kā karnā nahīñ yaad tum ko
nahīñ ādat-e-shor-o-fariyād tum ko
sitam-gar kare laakh barbād tum ko
kare gardish-e-charḳh nāshād tum ko
zarā kaan par juuñ na reñge tumhāre
chaleñ gardanoñ pe jo ḳhanjar do dhāre
sadā zulm kī aa rahī hai jahāñ se
ki zāhir haiñ be-dād pīr-o-javāñ se
Tapaktī haiñ gar hasrateñ ab yahāñ se
lapakte haiñ sho.ale sitam ke vahāñ se
magar tum ho is pe bhī mahv-e-qanā.at
qanā.at nahīñ ye hai zof-o-kasālat
suno madar-e-hind ke nau-nihaalo
sadaqat pe gardan kaTa lene walo
uTho KHwab-e-ghaflat miTa lo miTa lo
kamar-basta ho jao himmat baDha lo
tumhein gam-e-himmat baDhana paDega
watan ka muqaddar jagana paDega
taraqqi ka bhaarat ki naghma suna do
mohabbat ki ganga dilon mein baha do
jo KHufta hain muddat se un ko jaga do
sadaqat ka didon ki Danka baja do
karo jald sairab ujDe chaman ko
lagen chaar chand aaj apne watan ko
paDe hain kahin din ki jaan ke lale
kahin dil hilate hain bekas ke nale
hue hain kahin nim-jaan bhole bhaale
musibat ke chakkar mein hain hind wale
chala hai kisi ke kaleje pe nashtar
dhuan aah ka hai kisi ke labon par
bharosa zamin ka na charKH-e-kuhan ka
tawakkul hai parmatma par watan ka
nazara hai gulzar kishwar mein ban ka
hua KHar har phul apne chaman ka
na chhoDo magar hausla sher mardo
uTho beDa manjhdar se par kar do
shikayat ka karna nahin yaad tum ko
nahin aadat-e-shor-o-fariyaad tum ko
sitam-gar kare lakh barbaad tum ko
kare gardish-e-charKH nashad tum ko
zara kan par jun na renge tumhaare
chalen gardanon pe jo KHanjar do dhaare
sada zulm ki aa rahi hai jahan se
ki zahir hain be-dad pir-o-jawan se
Tapakti hain gar hasraten ab yahan se
lapakte hain shoale sitam ke wahan se
magar tum ho is pe bhi mahw-e-qanaat
qanaat nahin ye hai zof-o-kasalat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.