Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhaarat ke wir sipahi

Arsh Malsiyani

bhaarat ke wir sipahi

Arsh Malsiyani

MORE BYArsh Malsiyani

    ham haiñ bahādur yodhdhā anthak

    desh sīmāoñ ke rakshak

    jaate haiñ shatru ke ghar tak

    bhāratvarsh ke sachche sevak

    detī hai duniyā ye gavāhī

    ham bhārat ke viir sipāhī

    taḌ taḌ gole barsā kar

    khaT khaT khaT khaT tank chalā kar

    hath goloñ ko kaam meñ kar

    bandūqoñ maar dikhā kar

    laate haiñ shatru pe tabāhī

    ham bhārat ke viir sipāhī

    gaa.eñ vīroñ gāthā.eñ

    janm-bhūmī qarz chukā.eñ

    vijay patākā jab lahrā.eñ

    jai jaykār naad bajā.eñ

    vijay manzil ke sab raahī

    ham bhārat ke viir sipāhī

    dhoke har baat bhī jīteñ

    dushman har ghaat bhī jīteñ

    sāñjh bhī aur parbhāt bhī jīteñ

    din bhī jīteñ raat bhī jīteñ

    kaisā ujālā kaisī siyāhī

    ham bhārat ke viir sipāhī

    bhay se maiñ ghabrā nahīñ saktā

    koī sāmne aa nahīñ saktā

    koī hameñ bahkā nahīñ saktā

    dushman chhup kar nahīñ saktā

    aisī hamārī tez nigāhī

    ham bhārat ke viir sipāhī

    dushman ke sar kaTe paḌe haiñ

    jahāñ aḌe haiñ DaT ke aḌe haiñ

    jhanDe ranbhūmī meñ gaḌe haiñ

    desh prem meñ jam ke laḌe haiñ

    ham ne desh se priit nibāhī

    ham bhārat ke viir sipāhī

    hum hain bahadur yodhdha anthak

    desh ki simaon ke rakshak

    jate hain shatru ke ghar tak

    bhaaratwarsh ke sachche sewak

    deti hai duniya ye gawahi

    hum bhaarat ke wir sipahi

    taD taD gole barsa kar

    khaT khaT khaT khaT tank chala kar

    hath golon ko kaam mein la kar

    banduqon ki mar dikha kar

    late hain shatru pe tabahi

    hum bhaarat ke wir sipahi

    gaen wiron ki gathaen

    janm-bhumi ka qarz chukaen

    wijay pataka jab lahraen

    jai jaykar ka nad bajaen

    wijay ki manzil ke sab rahi

    hum bhaarat ke wir sipahi

    dhoke ki har baat bhi jiten

    dushman ki har ghat bhi jiten

    sanjh bhi aur parbhat bhi jiten

    din bhi jiten raat bhi jiten

    kaisa ujala kaisi siyahi

    hum bhaarat ke wir sipahi

    bhay se main ghabra nahin sakta

    koi samne aa nahin sakta

    koi hamein bahka nahin sakta

    dushman chhup kar ja nahin sakta

    aisi hamari tez nigahi

    hum bhaarat ke wir sipahi

    dushman ke sar kaTe paDe hain

    jahan aDe hain DaT ke aDe hain

    jhanDe ranbhumi mein gaDe hain

    desh prem mein jam ke laDe hain

    hum ne desh se prit nibahi

    hum bhaarat ke wir sipahi

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 398)
    • Author : Arsh Malsiyani
    • Publication : Ali Hujwiri Publisher H. 811, A Androon, Akbari Gate, Lahore
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now