bhae kabir udas
ik paTrī par sardī meñ apnī taqdīr ko ro.e
duujā zulfoñ kī chhāñv meñ sukh kī sej pe so.e
rāj-siñghāsan par ik baiThā aur ik us kā daas
bha.e kabīr udaas
ūñche ūñche aivānoñ meñ mūrakh hukm chalā.eñ
qadam qadam par is nagrī meñ panDit dhakke khā.eñ
dhartī par bhagvān bane haiñ dhan hai jin ke paas
bha.e kabīr udaas
giit likhā.eñ paise nā deñ film nagar ke log
un ke ghar baaje shahnā.ī lekhak ke ghar sog
gaa.ek sur meñ kyuuñ kar gaa.e kyuuñ nā kaaTe ghaas
bha.e kabīr udaas
kal tak thā jo haal hamārā haal vahī hai aaj
'jālib' apne des meñ sukh kā kaal vahī hai aaj
phir bhī mochī-gate pe leader roz kareñ bakvās
bha.e kabīr udaas
ek paTri par sardi mein apni taqdir ko roe
duja zulfon ki chhanw mein sukh ki sej pe soe
raj-singhasan par ek baiTha aur ek us ka das
bhae kabir udas
unche unche aiwanon mein murakh hukm chalaen
qadam qadam par is nagri mein panDit dhakke khaen
dharti par bhagwan bane hain dhan hai jin ke pas
bhae kabir udas
git likhaen paise na den film nagar ke log
un ke ghar baje shahnai lekhak ke ghar sog
gaek sur mein kyun kar gae kyun na kaTe ghas
bhae kabir udas
kal tak tha jo haal hamara haal wahi hai aaj
'jalib' apne des mein sukh ka kal wahi hai aaj
phir bhi mochi-gate pe leader roz karen bakwas
bhae kabir udas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.