bhagat-singh ke nam
kahīñ jab sarfaroshī kī
mohabbat istaqāmat kī
shahādat kī vatan kī baat chaltī hai
mujhe tum yaad aate ho
ye dhāre ruk nahīñ sakte
sitāre jhuk nahīñ sakte
kināre dekhte rahnā
nazāre ruk nahīñ sakte
havā bahtī hī rahtī hai
samundar se samundar tak
lahū daryāft kartā hai
na.ī tahrīk kā manshūr
ye kirneñ darj kartī haiñ
har ik dhartī pe hone kā nayā dastūr
har ik raste pe haiñ dār-o-rasan ke nīlgūñ saa.e
lahū se aag kī lapTeñ nikaltī haiñ
qatāroñ meñ dar-e-zindāñ pe har lamha
ajab sī bhiiḌ rahtī hai
ye kaisī aag hai jo sard hone ko nahīñ aatī
ye kaisā ḳhvāb hai ta.abīr āñkheñ chhīn letī hai
shujā.at qarz hotī hai
mohabbat farz hotī hai
kisī colonel ke qatl-e-ām se lashkar nahīñ rukte
salīboñ se nahīñ Darte
lahū ke dhāre meñ bahte sitāre ruk nahīñ sakte
abad ke āsmānoñ se ishāre ruk nahīñ sakte
ajab hī log hote haiñ
ḳhud apnī miTTī kī ḳhātir jo jān-o-tan luTāte haiñ
ġhazab hī log hote haiñ
ki jo tārīḳh ke dhāre ke ruḳh ko moḌ dete haiñ
mohabbat karne vaale log pāgal log hote haiñ
kisī se jo nahīñ Darte
ye vo dariyā haiñ jin kī āḳhirī manzil
abad kā āḳhirī sāhil
ye vo dariyā samundar jin kā rasta hai
samundar kis se kab tasḳhīr hotā hai
samundar hai zamāna
aur zamāna kis se kab zanjīr hotā hai
kahin jab sarfaroshi ki
mohabbat istaqamat ki
shahadat ki watan ki baat chalti hai
mujhe tum yaad aate ho
ye dhaare ruk nahin sakte
sitare jhuk nahin sakte
kinare dekhte rahna
nazare ruk nahin sakte
hawa bahti hi rahti hai
samundar se samundar tak
lahu daryaft karta hai
nai tahrik ka manshur
ye kirnen darj karti hain
har ek dharti pe hone ka naya dastur
har ek raste pe hain dar-o-rasan ke nilgun sae
lahu se aag ki lapTen nikalti hain
qataron mein dar-e-zindan pe har lamha
ajab si bhiD rahti hai
ye kaisi aag hai jo sard hone ko nahin aati
ye kaisa KHwab hai tabir aankhen chhin leti hai
shujaat qarz hoti hai
mohabbat farz hoti hai
kisi colonel ke qatl-e-am se lashkar nahin rukte
salibon se nahin Darte
lahu ke dhaare mein bahte sitare ruk nahin sakte
abad ke aasmanon se ishaare ruk nahin sakte
ajab hi log hote hain
KHud apni miTTi ki KHatir jo jaan-o-tan luTate hain
ghazab hi log hote hain
ki jo tariKH ke dhaare ke ruKH ko moD dete hain
mohabbat karne wale log pagal log hote hain
kisi se jo nahin Darte
ye wo dariya hain jin ki aaKHiri manzil
abad ka aaKHiri sahil
ye wo dariya samundar jin ka rasta hai
samundar kis se kab tasKHir hota hai
samundar hai zamana
aur zamana kis se kab zanjir hota hai
- Book : Duniya Zade (Pg. 173)
- Author : ASIF FARRUKHI
- Publication : Scheherzade (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.