bhagwan
baiThā thā ākāsh par
tū āñkhoñ se duur
lekin apnā man thā terī shardhā se bharpūr
āñkhoñ meñ parkāsh thā terā
man meñ thā thā ye gyaan
karam kukarm ko dekhtā hai merā bhagvān
to mandir meñ aan birājā
pahan ke hiire motī
dvaar dhanush kī oT meñ aa ga.ī terī jotī
mahlūk daas pujārī purohit
panDit aur vidvān
dene lage ye gyaan
un ke charnoñ ko chhūne se milte haiñ bhagvān
aartī puujā
ras līlā.eñ
devdāsiyāñ gaa.eñ
harī harī har harī harī har jai vishnū bhagvān
tū hai naath anāth kā aur nirbal ke parān
jai terī bhagvān
raag rañg aur bheñT bhog ke moh ne tujh ko rijhāyā
ras-līlā ke pher meñ tujh ko le aayā insān
ai mere bhagvān
tū mandir meñ baiTh rahā hai pahan ke hiire motī
maiñ hairān huuñ is par tujh ko uljhan kyoñ nahīñ hotī
toḌ phoḌ kar dvaar dhanush sab kar de ek samān
man-mandir meñ bas na sake to mat kahlā bhagvān
baiTha tha aakash par
tu aankhon se dur
lekin apna man tha teri shardha se bharpur
aankhon mein parkash tha tera
man mein tha tha ye gyan
karam kukarm ko dekhta hai mera bhagwan
to mandir mein aan biraja
pahan ke hire moti
dwar dhanush ki oT mein aa gai teri joti
mahluk das pujari purohit
panDit aur widwan
dene lage ye gyan
un ke charnon ko chhune se milte hain bhagwan
aarti puja
ras lilaen
dewdasiyan gaen
hari hari har hari hari har jai wishnu bhagwan
tu hai nath anath ka aur nirbal ke paran
jai teri bhagwan
rag rang aur bhenT bhog ke moh ne tujh ko rijhaya
ras-lila ke pher mein tujh ko le aaya insan
ai mere bhagwan
tu mandir mein baiTh raha hai pahan ke hire moti
main hairan hun is par tujh ko uljhan kyon nahin hoti
toD phoD kar dwar dhanush sab kar de ek saman
man-mandir mein bas na sake to mat kahla bhagwan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.