bhagwan-kirshn
ziist kā tarjumāñ hai merā kirshn
ya.anī jān-e-jahāñ hai merā kirshn
hai vahī mālik-e-fanā-o-baqā
vālī-e-do-jahāñ hai merā kirshn
aap jaada hai aap manzil hai
ya.anī manzil-nishāñ hai merā kirshn
merī manzil qarīb-tar kar dī
rū-kash-e-rahbarāñ hai merā kirshn
bāġh-e-īmāñ ko tāzgī baḳhshī
nāzish-e-gulsitāñ hai merā kirshn
merī duniyā sañvār dī us ne
merī rūh-e-ravāñ hai merā kirshn
fikr-e-duniyā-o-āqibat hī nahīñ
zāmin-e-do-jahāñ hai merā kirshn
zist ka tarjuman hai mera kirshn
yani jaan-e-jahan hai mera kirshn
hai wahi malik-e-fana-o-baqa
wali-e-do-jahan hai mera kirshn
aap jada hai aap manzil hai
yani manzil-nishan hai mera kirshn
meri manzil qarib-tar kar di
ru-kash-e-rahbaran hai mera kirshn
bagh-e-iman ko tazgi baKHshi
nazish-e-gulsitan hai mera kirshn
meri duniya sanwar di us ne
meri ruh-e-rawan hai mera kirshn
fikr-e-duniya-o-aqibat hi nahin
zamin-e-do-jahan hai mera kirshn
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.