bharam qaem rahe
darāḌeñ paḌ rahī haiñ dil ke andar
magar chehre ko ham chamkā rahe haiñ
tabāhī aa rahī hai ham pe jo kuchh
use parde meñ karte jā rahe haiñ
hue koshāñ na is ke vāste ham
ki barbādī kā saaya ham se bhāge
hamārī koshishoñ kā hai ye maqsad
bharam qaa.em rahe auroñ ke aage
daraDen paD rahi hain dil ke andar
magar chehre ko hum chamka rahe hain
tabahi aa rahi hai hum pe jo kuchh
use parde mein karte ja rahe hain
hue koshan na is ke waste hum
ki barbaadi ka saya hum se bhage
hamari koshishon ka hai ye maqsad
bharam qaem rahe auron ke aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.