bharosa
ek patiñgā
tanhā tanhā!
shaam Dhale is fikr meñ thā
ye tanhā.ī kaise kaTegī?
raat huī
aur sham.a jalī
maġhmūm patiñgā jhuum uThā
hañste hañste raat kaTegī
sub.h huī
aur sab ne dekhā
raakh patiñge kī uḌ uḌ kar
sham.a ko har sū DhūñD rahī thī
ek patinga
tanha tanha!
sham Dhale is fikr mein tha
ye tanhai kaise kaTegi?
raat hui
aur shama jali
maghmum patinga jhum uTha
hanste hanste raat kaTegi
subh hui
aur sab ne dekha
rakh patinge ki uD uD kar
shama ko har su DhunD rahi thi
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 212)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.