bhiD nahin ye aankhen hain
bhiiḌ nahīñ ye āñkheñ haiñ
aur in āñkhoñ meñ
kisī ke chashme kā number baḌh jaatā hai to
maiñ dhuñdlā ho jaatā huuñ
majbūrī hai merī
rishte rakhnā kuchh achchhī āñkhoñ se
garm hāthoñ se
sach to ye hai
merā honā hī tab sābit hotā hai jab
koī mujh ko dekhe
mujh ko haath lagā.e
bhiiḌ nahīñ ye vo āñkheñ haiñ
jin se huuñ maiñ
bhiD nahin ye aankhen hain
aur in aankhon mein
kisi ke chashme ka number baDh jata hai to
main dhundla ho jata hun
majburi hai meri
rishte rakhna kuchh achchhi aankhon se
garm hathon se
sach to ye hai
mera hona hi tab sabit hota hai jab
koi mujh ko dekhe
mujh ko hath lagae
bhiD nahin ye wo aankhen hain
jin se hun main
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 106)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.