bhiga mausam
us ne kahā thā chhoTī sī farmā.ish hai!
maiñ ne kahā thā bholī-bhālī ḳhvāhish hai!
us ne kahā thā ruuh meñ ḳhārish hotī hai
maiñ ne kahā thā jismoñ kī sāzish hotī hai
us ne kahā thā bādal kaale hote haiñ
maiñ ne kahā thā bijlī gorī hotī hai!
is ne kahā thā jab donoñ Takrāte haiñ!!
maiñ ne kahā thā phir to bārish hotī hai!!!!
us ne kahā thā bārish meñ chhīñTe paḌte haiñ
maiñ ne kahā thā kapḌe bhī giile hote haiñ
is ne kahā thā bhīgne vaalā hai mausam
maiñ ne kahā bhaag nahīñ pā.eñge ham!!
saarā aalam bhiig rahā thā bārish meñ
apne apne zarf meñ, apnī ḳhvāhish meñ
sharābor the ham donoñ rafta rafta
andar bāhar bhiig ga.e jasta jasta
jazboñ kā sābun, ehsās kā paanī thā
bārish ke do bhīge tan par
dhuup utarne vaalī thī
dhulā dhulā fitrat kā saarā manzar thā
par phailā.e...
do panchhī be-sudh the
ġhaib kī mastī meñ!!
sunte haiñ:
phir aag lagī thī bastī meñ!!!!
us ne kaha tha chhoTi si farmaish hai!
main ne kaha tha bholi-bhaali KHwahish hai!
us ne kaha tha ruh mein KHarish hoti hai
main ne kaha tha jismon ki sazish hoti hai
us ne kaha tha baadal kale hote hain
main ne kaha tha bijli gori hoti hai!
is ne kaha tha jab donon Takraate hain!!
main ne kaha tha phir to barish hoti hai!!!!
us ne kaha tha barish mein chhinTe paDte hain
main ne kaha tha kapDe bhi gile hote hain
is ne kaha tha bhigne wala hai mausam
main ne kaha bhag nahin paenge ham!!
sara aalam bhig raha tha barish mein
apne apne zarf mein, apni KHwahish mein
sharabor the hum donon rafta rafta
andar bahar bhig gae jasta jasta
jazbon ka sabun, ehsas ka pani tha
barish ke do bhige tan par
dhup utarne wali thi
dhula dhula fitrat ka sara manzar tha
par phailae
do panchhi be-sudh the
ghaib ki masti mein!!
sunte hain:
phir aag lagi thi basti mein!!!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.