bhik
kisī mandir kī ghanTī se
Darā sahmā huā bhagvān
ik TuuTe hue vīrān ghar meñ jā chhupegā
aur pujārī
ḳhuun meñ Duube hue tirshūl le kar
deviyoñ aur devtāoñ ko pukāreñge
salībeñ bhī sabhī ḳhālī mileñgī
har taraf girjā-gharoñ meñ
kyuuñ ki sab māsūm-tīnat log
galī ke moḌ par suulī se laTke
duā-e-maġhfirat meñ har ghaḌī masrūf hoñge
qātiloñ ke vāste
azānoñ meñ
ḳhudā-e-pāk ke har zikr ke badle
shāyad kisī qahhār yā jabbār kī
hamd o sanā hogī
ham apnī āqibat kī bhiik māñgeñge
ḳhudā ke nek bandoñ se
kisi mandir ki ghanTi se
Dara sahma hua bhagwan
ek TuTe hue viran ghar mein ja chhupega
aur pujari
KHun mein Dube hue tirshul le kar
dewiyon aur dewtaon ko pukarenge
saliben bhi sabhi KHali milengi
har taraf girja-gharon mein
kyun ki sab masum-tinat log
gali ke moD par suli se laTke
dua-e-maghfirat mein har ghaDi masruf honge
qatilon ke waste
azanon mein
KHuda-e-pak ke har zikr ke badle
shayad kisi qahhaar ya jabbar ki
hamd o sana hogi
hum apni aaqibat ki bhik mangenge
KHuda ke nek bandon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.