bhikaran
poplā muñh hil rahā hai jhurriyoñ ke saath saath
bojh lāThī kā liye tharrā rahā hai narm haath
malgajī saaḌī ke dāman meñ hai thailī paan kī
sah rahī hai gāliyāñ dahlīz par darbān kī
yaas se jhuktī hai darvāze se Takrā kar nazar
māñgtī hai ek paisa vo bhī allah naam par
is jahāñ meñ koī us kā pālne vaalā nahīñ
us ke muñh meñ ik nivāla Dālne vaalā nahīñ
sang-dil duniyā meñ qismat kī kalī khiltī nahīñ
us ko zillat ke sile meñ bhiik bhī miltī nahīñ
popla munh hil raha hai jhurriyon ke sath sath
bojh laThi ka liye tharra raha hai narm hath
malgaji saDi ke daman mein hai thaili pan ki
sah rahi hai galiyan dahliz par darban ki
yas se jhukti hai darwaze se Takra kar nazar
mangti hai ek paisa wo bhi allah nam par
is jahan mein koi us ka palne wala nahin
us ke munh mein ek niwala Dalne wala nahin
sang-dil duniya mein qismat ki kali khilti nahin
us ko zillat ke sile mein bhik bhi milti nahin
- Maikhana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.