bhikari
us kī banā.ī huī har tasvīr
aḳhbāroñ kī ḳhabar ban jaatī hai
us kī har panting ko in.āmāt lalchā.ī huī nazroñ se dekhte haiñ
us ke brush se rañgoñ kā rañg khil jaatā hai
vo qudarat ke har nazzāre ko
apne rañg aur brush se qaid kar letā hai
lekin
us kī biivī kī kokh meñ
koī tasvīr nahīñ hotī
us ke brush se āñgan kī kilkāriyāñ nā-vāqif haiñ
shāyad is musavvir se
kā.enāt kā sab se baḌā musavvir nārāz hai
us ki banai hui har taswir
aKHbaron ki KHabar ban jati hai
us ki har panting ko inamat lalchai hui nazron se dekhte hain
us ke brush se rangon ka rang khil jata hai
wo qudarat ke har nazzare ko
apne rang aur brush se qaid kar leta hai
lekin
us ki biwi ki kokh mein
koi taswir nahin hoti
us ke brush se aangan ki kilkariyan na-waqif hain
shayad is musawwir se
kaenat ka sab se baDa musawwir naraaz hai
- Book : Shahdaba (Pg. 61)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.