bhuk
alassabāh ki duniyā thī mahv-e-ḳhvāb abhī
chhupā thā hujra-e-mashriq meñ āftāb abhī
falak pe anjuman-e-shab kā thā asar baaqī
ghirā huā thā sitāroñ meñ māhtāb abhī
fazā.eñ gum thiiñ dhundalke meñ āḳhir-e-shab ke
urūh-e-sub.h ke chehre pe thī naqāb abhī
liyā na thā abhī sūraj ne bosa-e-āriz
salone rañg meñ nikhrā na thā shabāb abhī
na aa.ī thī abhī surḳhī ufuq ke chehre par
shafaq ne charḳh pe chhiḌkī na thī sharāb abhī
ġhunūdgī meñ fazā.eñ thiiñ sar jhukā.e hue
maiñ jā rahā thā saḌak par qadam baḌhā.e hue
magar thā pesh-e-nazar ik muraqqa-e-adbār
dil-e-ġharīb kī sūrat udaas thā bāzār
ba-juz sadā-e-nafas ke kahīñ na thī āvāz
ba-juz havā-e-sahar ke koī na thā bedār
vo koThiyāñ vo tarab-ḳhāna-hā-e-daulat-o-aish
jahāñ the āḳhir-e-shab tak hayāt ke āsār
vahāñ bhī maut ke baiThe hue the pahre-dār
na sham.a thī na patañge na bazm thī na bahār
gadāgaroñ ke ka.ī qāfile ba-hāl-e-tabāh
paḌe hue the sar-e-rāh niiñd meñ sarshār
yakāyak ek taraf uTh ga.ī jo merī nazar
ajab tarah kā nazar aayā sāmne manzar
galī ke moḌ par ik aadmī pareshāñ-hāl
ki jis kī shām-e-javānī thī sogvār-e-zavāl
jhukī jhukī huī nazreñ ruñDhā ruñDhā huā dil
dhañsī dhañsī huī āñkheñ saTe saTe hue gaal
barahna jism ḳhamīda kamar ramīda havās
badan niDhāl tabī.at niDhāl ruuh niDhāl
zabān-e-laġhzish-e-pā par fasāna-e-shab-o-roz
sutūr-e-chīn-e-jabīñ meñ hadīs-e-māzī-o-hāl
samajh gayā maiñ use dekhte hī haal us kā
ki us kī shakl ba-yak-vaqt thī javāb-o-savāl
bisāt-e-kāk pe baiThā huā thā ḳhāk-basar
paḌī thī sāmne kuuḌe pe kuchh saḌī huī daal
sag-e-gursna kī mānind chāTtā thā use
burā thā bhuuk se kuchh is qadar ġharīb kā haal
maiñ us muhīb nazāre kī taab lā na sakā
qadam jame ke jame rah ga.e uThā na sakā
alassabah ki duniya thi mahw-e-KHwab abhi
chhupa tha hujra-e-mashriq mein aaftab abhi
falak pe anjuman-e-shab ka tha asar baqi
ghira hua tha sitaron mein mahtab abhi
fazaen gum thin dhundalke mein aaKHir-e-shab ke
uruh-e-subh ke chehre pe thi naqab abhi
liya na tha abhi suraj ne bosa-e-ariz
salone rang mein nikhra na tha shabab abhi
na aai thi abhi surKHi ufuq ke chehre par
shafaq ne charKH pe chhiDki na thi sharab abhi
ghunudgi mein fazaen thin sar jhukae hue
main ja raha tha saDak par qadam baDhae hue
magar tha pesh-e-nazar ek muraqqa-e-adbar
dil-e-gharib ki surat udas tha bazar
ba-juz sada-e-nafas ke kahin na thi aawaz
ba-juz hawa-e-sahar ke koi na tha bedar
wo koThiyan wo tarab-KHana-ha-e-daulat-o-aish
jahan the aaKHir-e-shab tak hayat ke aasar
wahan bhi maut ke baiThe hue the pahre-dar
na shama thi na patange na bazm thi na bahaar
gadagaron ke kai qafile ba-haal-e-tabah
paDe hue the sar-e-rah nind mein sarshaar
yakayak ek taraf uTh gai jo meri nazar
ajab tarah ka nazar aaya samne manzar
gali ke moD par ek aadmi pareshan-haal
ki jis ki sham-e-jawani thi sogwar-e-zawal
jhuki jhuki hui nazren runDha runDha hua dil
dhansi dhansi hui aankhen saTe saTe hue gal
barahna jism KHamida kamar ramida hawas
badan niDhaal tabiat niDhaal ruh niDhaal
zaban-e-laghzish-e-pa par fasana-e-shab-o-roz
sutur-e-chin-e-jabin mein hadis-e-mazi-o-haal
samajh gaya main use dekhte hi haal us ka
ki us ki shakl ba-yak-waqt thi jawab-o-sawal
bisat-e-kak pe baiTha hua tha KHak-basar
paDi thi samne kuDe pe kuchh saDi hui dal
sag-e-gursna ki manind chaTta tha use
bura tha bhuk se kuchh is qadar gharib ka haal
main us muhib nazare ki tab la na saka
qadam jame ke jame rah gae uTha na saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.