bhuk
aañkh khul ga.ī merī
ho gayā maiñ phir zinda
peT ke añdheroñ se
zehn ke dhundalkoñ tak
ek saañp ke jaisā
reñgtā ḳhayāl aayā
aaj tīsrā din hai…… aaj tīsrā din hai
ik ajiib ḳhāmoshī
munjamid hai kamre meñ
ek farsh aur ik chhat
aur chaar dīvāreñ
mujh se be-ta.alluq sab
sab mire tamāshā.ī
sāmne kī khiḌkī se
tez dhuup kī kirneñ
aa rahī haiñ bistar par
chubh rahī haiñ chehre meñ
is qadar nukīlī haiñ
jaise rishte-dāroñ ke
tanz merī ġhurbat par
aañkh khul ga.ī merī
aaj khokhlā huuñ maiñ
sirf ḳhol baaqī hai
aaj mere bistar meñ
leTā hai mirā Dhāñcha
apnī murda āñkhoñ se
dekhtā hai kamre ko
aaj tīsrā din hai
aaj tīsrā din hai
dopahar kī garmī meñ
be-irāda qadmoñ se
ik saḌak pe chaltā huuñ
tañg sī saḌak par haiñ
donoñ samt dokāneñ
ḳhālī ḳhālī āñkhoñ se
har dukān kā taḳhta
sirf dekh saktā huuñ
ab paḌhā nahīñ jaatā
log aate jaate haiñ
paas se guzarte haiñ
phir bhī kitne dhuñdle haiñ
sab haiñ jaise be-chehra
shor in dukānoñ kā
raah chaltī ik gaalī
radio kī āvāzeñ
duur kī sadā.eñ haiñ
aa rahī mīloñ se
jo bhī sun rahā huuñ maiñ
jo bhī dekhtā huuñ maiñ
ḳhvāb jaisā lagtā hai
hai bhī aur nahīñ bhī hai
dopahar kī garmī meñ
be-irāda qadmoñ se
ik saḌak pe chaltā huuñ
sāmne ke nukkaḌ par
nal dikhā.ī detā hai
saḳht kyuuñ hai ye paanī
kyuuñ gale meñ phañstā hai
mere peT meñ jaise
ghūñsa ek lagtā hai
aa rahā hai chakkar sā
jism par pasīna hai
ab sakat nahīñ baaqī
aaj tīsrā din hai
aaj tīsrā din hai
har taraf añdherā hai
ghaaT par akelā huuñ
sīḌhiyāñ haiñ patthar kī
sīḌhiyoñ pe leTā huuñ
ab maiñ uTh nahīñ saktā
āsmāñ ko taktā huuñ
āsmāñ ko thālī meñ
chāñd ek roTī hai
jhuk rahī haiñ ab palkeñ
Dūbtā hai ye manzar
hai zamīn gardish meñ
mere ghar meñ chūlhā thā
roz khānā paktā thā
roTiyāñ sunahrī haiñ
garm garm ye khānā
khul nahīñ rahī āñkheñ
kyā maiñ marne vaalā huuñ
maañ ajiib thī merī
roz apne hāthoñ se
mujh ko vo khilātī thī
kaun sard hāthoñ se
chhū rahā hai chehre ko
ik nivālā hāthī kā
ik nivālā ghoḌe kā
ik nivālā bhālū kā
maut hai ki be-hoshī
jo bhī ġhanīmat hai
maut hai ki be-hoshī
jo bhī hai ġhanīmat hai
aaj tīsrā din thaa.......... aaj tīsrā din thā
aankh khul gai meri
ho gaya main phir zinda
peT ke andheron se
zehn ke dhundalkon tak
ek sanp ke jaisa
rengta KHayal aaya
aaj tisra din hai…… aaj tisra din hai
ek ajib KHamoshi
munjamid hai kamre mein
ek farsh aur ek chhat
aur chaar diwaren
mujh se be-talluq sab
sab mere tamashai
samne ki khiDki se
tez dhup ki kirnen
aa rahi hain bistar par
chubh rahi hain chehre mein
is qadar nukili hain
jaise rishte-daron ke
tanz meri ghurbat par
aankh khul gai meri
aaj khokhla hun main
sirf KHol baqi hai
aaj mere bistar mein
leTa hai mera Dhancha
apni murda aankhon se
dekhta hai kamre ko
aaj tisra din hai
aaj tisra din hai
dopahar ki garmi mein
be-irada qadmon se
ek saDak pe chalta hun
tang si saDak par hain
donon samt dokanen
KHali KHali aankhon se
har dukan ka taKHta
sirf dekh sakta hun
ab paDha nahin jata
log aate jate hain
pas se guzarte hain
phir bhi kitne dhundle hain
sab hain jaise be-chehra
shor in dukanon ka
rah chalti ek gali
radio ki aawazen
dur ki sadaen hain
aa rahi milon se
jo bhi sun raha hun main
jo bhi dekhta hun main
KHwab jaisa lagta hai
hai bhi aur nahin bhi hai
dopahar ki garmi mein
be-irada qadmon se
ek saDak pe chalta hun
samne ke nukkaD par
nal dikhai deta hai
saKHt kyun hai ye pani
kyun gale mein phansta hai
mere peT mein jaise
ghunsa ek lagta hai
aa raha hai chakkar sa
jism par pasina hai
ab sakat nahin baqi
aaj tisra din hai
aaj tisra din hai
har taraf andhera hai
ghaT par akela hun
siDhiyan hain patthar ki
siDhiyon pe leTa hun
ab main uTh nahin sakta
aasman ko takta hun
aasman ko thaali mein
chand ek roTi hai
jhuk rahi hain ab palken
Dubta hai ye manzar
hai zamin gardish mein
mere ghar mein chulha tha
roz khana pakta tha
roTiyan sunahri hain
garm garm ye khana
khul nahin rahi aankhen
kya main marne wala hun
man ajib thi meri
roz apne hathon se
mujh ko wo khilati thi
kaun sard hathon se
chhu raha hai chehre ko
ek niwala hathi ka
ek niwala ghoDe ka
ek niwala bhaalu ka
maut hai ki be-hoshi
jo bhi ghanimat hai
maut hai ki be-hoshi
jo bhi hai ghanimat hai
aaj tisra din tha aaj tisra din tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.