bhuk mein dabe bachpan
sharīr meñ koī taḌap sī hogī
yā koī aadat sī paḌī hogī
ka.ī dino kī ka.ī chīzo kī bhuuk to hogī
koī maqsad hogā yā yuuñ hī
zindagī nañge paañv kī dauḌ hogī
dhuup ko pardoñ se vāpas bhej diyā amīroñ ne
vo jā kar ka.ī āñkhoñ meñ añdhere bhar rahī hogī
kuchh hai nahīñ Takrāne ko kyā usī kāran
māyūsī meñ lipTī nīndeñ phail ke so rahī hogī
ḳhvāboñ meñ pariyāñ khīñch ke laa.ī jaatī hoñgī
bebasī chand nivāloñ se gale utārī hogī
mahfiloñ meñ kaun sī ḳhāsiyat baTtī hogī
kitnī ūñchā.ī pe sapne rakhe jaate hoñge
kyā ḳhvāboñ kī parībhāshā bhī paḌhā.ī jaatī hogī
āñkhoñ se bahtī zid se hāsil kyā hotā hogā
kyā TūTne pe phuuT phuuT ke rotī hoñgī
kaun se qisse hoñge jo ḳhālī peT hañsī nikaltī hogī
buḳhār meñ ārām ke liye kaun se bahāne dharte hoñge
gāḌiyoñ ke tyre ke nishān siine pe paḌte hoñge
saḌkoñ pe ka.ī bachpan bhuuk meñ dab ke marte hoñge
sharir mein koi taDap si hogi
ya koi aadat si paDi hogi
kai dino ki kai chizo ki bhuk to hogi
koi maqsad hoga ya yun hi
zindagi nange panw ki dauD hogi
dhup ko pardon se wapas bhej diya amiron ne
wo ja kar kai aankhon mein andhere bhar rahi hogi
kuchh hai nahin Takrane ko kya usi karan
mayusi mein lipTi ninden phail ke so rahi hogi
KHwabon mein pariyan khinch ke lai jati hongi
bebasi chand niwalon se gale utari hogi
mahfilon mein kaun si KHasiyat baTti hogi
kitni unchai pe sapne rakhe jate honge
kya KHwabon ki paribhasha bhi paDhai jati hogi
aankhon se bahti zid se hasil kya hota hoga
kya TuTne pe phuT phuT ke roti hongi
kaun se qisse honge jo KHali peT hansi nikalti hogi
buKHar mein aaram ke liye kaun se bahane dharte honge
gaDiyon ke tyre ke nishan sine pe paDte honge
saDkon pe kai bachpan bhuk mein dab ke marte honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.