Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhuka bangal

Wamiq Jaunpuri

bhuka bangal

Wamiq Jaunpuri

MORE BYWamiq Jaunpuri

    pūrab des meñ Duggī baajī phailā sukh haal

    dukh āganī kaun bujhā.e suukh ga.e sab taal

    jin hāthoñ meñ motī ro le aaj vahī kañgāl

    aaj vahī kañgāl

    bhūkā hai bañgāl re sāthī bhūkā hai bañgāl

    piiTh se apne peT lagā.e lākhoñ ulTe khaaT

    bhīk-mañgā.ī se thak thak kar utre maut ke ghaaT

    jiyan-maran ke DāñDe milā.e baiThe haiñ chanDāl re sāthī

    baiThe haiñ chanDāl

    bhūkā hai bañgāl re sāthī bhūkā hai bañgāl

    naddī naale galī Dagar par lāshoñ ke ambār

    jaan aisī mahñgī shai ulaT gayā bevpār

    muTThī bhar chāval se baḌh kar sastā hai ye maal re sāthī

    sastā hai ye maal

    bhūkā hai bañgāl re sāthī bhūkā hai bañgāl

    koThariyoñ meñ gāñje baiThe baniye saarā anaaj

    sundar-nārī bhuuk maarī beche ghar-ghar laaj

    chaupaT-nagarī kaun sambhāle chaar taraf bhūñchāl

    chaar taraf bhūñchāl

    bhūkā hai bañgāl re sāthī bhūkā hai bañgāl

    purkhoñ ne ghar baar luTāyā chhoḌ ke sab saath

    maa.eñ roiiñ bilak bilak kar bachche bha.e anāth

    sadā suhāgan bidhuvā baaje khole sar ke baal re sāthī

    khole sar ke baal

    bhūkā hai bañgāl re sāthī bhūkā hai bañgāl

    āttī-pattī chabā-chabā kar juujh rahā hai des

    maut ne kitne ghūñghaT maare badle sau sau bhes

    kaal bakaT phailā.e rahā hai bīmārī jaal re sāthī

    bīmārī jaal

    bhūkā hai bañgāl re sāthī bhūkā hai bañgāl

    Dhartī-mātā chhātī meñ choT lagī hai kaarī

    māyā-kālī ke phande meñ vaqt paḌā hai bhārī

    ab se uTh niiñd ke maate dekh jag haal re sāthī

    dekh jag haal

    bhūkā hai bañgāl re sāthī bhūkā hai bañgāl

    pyārī-mātā chintā mat kar ham haiñ aane vaale

    kundan-ras khetoñ meñ terī god basāne vaale

    ḳhuun pasīna hal hañsiyā se duur kareñge kaal re sāthī

    duur kareñge kaal

    bhūkā hai bañgāl re sāthī bhūkā hai bañgāl

    purab des mein Duggi baji phaila sukh ka haal

    dukh ki aagani kaun bujhae sukh gae sab tal

    jin hathon mein moti ro le aaj wahi kangal

    aaj wahi kangal

    bhuka hai bangal re sathi bhuka hai bangal

    piTh se apne peT lagae lakhon ulTe khaT

    bhik-mangai se thak thak kar utre maut ke ghaT

    jiyan-maran ke DanDe milae baiThe hain chanDal re sathi

    baiThe hain chanDal

    bhuka hai bangal re sathi bhuka hai bangal

    naddi nale gali Dagar par lashon ke ambar

    jaan ki aisi mahngi shai ka ulaT gaya bewpar

    muTThi bhar chawal se baDh kar sasta hai ye mal re sathi

    sasta hai ye mal

    bhuka hai bangal re sathi bhuka hai bangal

    koThariyon mein ganje baiThe baniye sara anaj

    sundar-nari bhuk ki mari beche ghar-ghar laj

    chaupaT-nagari kaun sambhaale chaar taraf bhunchaal

    chaar taraf bhunchaal

    bhuka hai bangal re sathi bhuka hai bangal

    purkhon ne ghar bar luTaya chhoD ke sab ka sath

    maen roin bilak bilak kar bachche bhae anath

    sada suhagan bidhuwa baje khole sar ke baal re sathi

    khole sar ke baal

    bhuka hai bangal re sathi bhuka hai bangal

    aatti-patti chaba-chaba kar jujh raha hai des

    maut ne kitne ghunghaT mare badle sau sau bhes

    kal bakaT phailae raha hai bimari ka jal re sathi

    bimari ka jal

    bhuka hai bangal re sathi bhuka hai bangal

    Dharti-mata ki chhati mein choT lagi hai kari

    maya-kali ke phande mein waqt paDa hai bhaari

    ab se uTh ja nind ke mate dekh tu jag ka haal re sathi

    dekh tu jag ka haal

    bhuka hai bangal re sathi bhuka hai bangal

    pyari-mata chinta mat kar hum hain aane wale

    kundan-ras kheton mein teri god basane wale

    KHun pasina hal hansiya se dur karenge kal re sathi

    dur karenge kal

    bhuka hai bangal re sathi bhuka hai bangal

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    bhuka bangal Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now