Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhul na jaana

Aadil Aseer Dehlvi

bhul na jaana

Aadil Aseer Dehlvi

MORE BYAadil Aseer Dehlvi

    va.ada kiyā thā aap ne mujh se

    yak-shamba ko khiir pakegī

    aaj hai shamba yaad dilā duuñ

    zehn meñ taaza baat rahegī

    pyārī ammī bhuul na jaanā

    va.ada kiyā thā aap ne mujh se

    yak-shamba ko paise mileñge

    aaj hai shamba yaad dilā duuñ

    varna paise kaise mileñge

    pyāre abbū bhuul na jaanā

    va.ada kiyā thā aap ne mujh se

    yak-shamba ko sair kareñge

    aaj hai shamba yaad dilā duuñ

    varna kaise yaad rakheñge

    pyāre bhayyā bhuul na jaanā

    va.ada kiyā thā aap ne mujh se

    yak-shamba ko kaam na deñgī

    aaj hai shamba yaad dilā duuñ

    pyārī baajī ḳhuub hañsnegī

    pyārī baajī bhuul na jaanā

    wada kiya tha aap ne mujh se

    yak-shamba ko khir pakegi

    aaj hai shamba yaad dila dun

    zehn mein taza baat rahegi

    pyari ammi bhul na jaana

    wada kiya tha aap ne mujh se

    yak-shamba ko paise milenge

    aaj hai shamba yaad dila dun

    warna paise kaise milenge

    pyare abbu bhul na jaana

    wada kiya tha aap ne mujh se

    yak-shamba ko sair karenge

    aaj hai shamba yaad dila dun

    warna kaise yaad rakhenge

    pyare bhayya bhul na jaana

    wada kiya tha aap ne mujh se

    yak-shamba ko kaam na dengi

    aaj hai shamba yaad dila dun

    pyari baji KHub hansnegi

    pyari baji bhul na jaana

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now