bhuli bisri raat
pichhlī raat kā chāñd dikhā.ī detā thā kuchh yuuñ tāroñ meñ
jaise koī jaan buujh kar kuud rahā ho añgāroñ meñ
dhartī se ākāsh talak kirnoñ kā sundar jaal bichhā thā
raaj thā sapnoñ kā sab jag par chhāyā huā ik sannāTā thā
lahroñ kī muñh zor silvaToñ meñ nadī bas ghol rahī thī
dhīme dhīme madhur suroñ meñ shāyad kuchh bol rahī thī
peḌ kināre par bhīgī parvā se kaañp rahe the thar-thar
rah rah kar ik aadh an-dekhā panchhī chīḳh uThtā thā jin par
duur ik parbat kī ūñchī choTī par ik chhoTī sī badlī
kyā jaane pūrab kī dhuñdle manDal meñ kyā DhūñDh rahī thī
aise meñ ham donoñ ik halkī sī nannhī naav meñ baiThe
jhil-mil jhil-mil karte paanī kī chhātī par tair rahe the
terī ruḳh pe pareshāñ kākul khel khel rahī thī narm havā se
ruup meñ terā sundar mukhḌā kahīñ suhānā thā chandrā se
bijlī aisā nuur āñkhoñ meñ dikhā.ī detā thā kuchh aise
chalte hoñ do nanhe nanhe dīpak kaalī raat meñ jaise
rah rah kar saarī kā āñchal kāñdhe par se Dhalak jaatā thā
rah rah kar tujh se kuchh kahne ko merā jī lalchātā thā
lekin ruk jaatī thī hoñToñ par jo baat uThtī thī man meñ
prem kī chīḳh liptā alhī thī laaj kī an-suljhī uljhan meñ
jhuum rahā thā jāgte sapnoñ kā sansār āñkhoñ meñ aise
aur kī motī jhuul rahe hoñ phūloñ ke jhūloñ meñ jaise
alag alag bechain thā chappū hāthoñ se chhūTā jaatā thā
aur yuuñ mere sabr kā pyālā rah rah kar chhalkā jaatā thā
ekā ekī tū ne bharī ik ThanDī saañs añgḌā.ī le kar
chup kī thakan se baaz aa.ī thī sar ko rakhā mere kāñdhe par
phir kyā thā dil aise machlā apne aap ko bhuul gayā maiñ
zor se tujh ko bheñch kar apnī bāhoñ meñ kuchh bol uThā maiñ
ik meñ kyā ākāsh ke taare bhī vo raat nahīñ bhūle haiñ
jis ko guzre aaj to lag-bhag chaar mahīne biit ga.e haiñ
ab bhī is kī yaad machā detī hai ik halchal sī man meñ
aisī raat nahīñ aatī hai palaT kar kyuuñ mere jīvan meñ
pichhli raat ka chand dikhai deta tha kuchh yun taron mein
jaise koi jaan bujh kar kud raha ho angaron mein
dharti se aakash talak kirnon ka sundar jal bichha tha
raj tha sapnon ka sab jag par chhaya hua ek sannaTa tha
lahron ki munh zor silwaTon mein nadi bas ghol rahi thi
dhime dhime madhur suron mein shayad kuchh bol rahi thi
peD kinare par bhigi parwa se kanp rahe the thar-thar
rah rah kar ek aadh an-dekha panchhi chiKH uThta tha jin par
dur ek parbat ki unchi choTi par ek chhoTi si badli
kya jaane purab ki dhundle manDal mein kya DhunDh rahi thi
aise mein hum donon ek halki si nannhi naw mein baiThe
jhil-mil jhil-mil karte pani ki chhati par tair rahe the
teri ruKH pe pareshan kakul khel khel rahi thi narm hawa se
rup mein tera sundar mukhDa kahin suhana tha chandra se
bijli aisa nur aankhon mein dikhai deta tha kuchh aise
chalte hon do nanhe nanhe dipak kali raat mein jaise
rah rah kar sari ka aanchal kandhe par se Dhalak jata tha
rah rah kar tujh se kuchh kahne ko mera ji lalchata tha
lekin ruk jati thi honTon par jo baat uThti thi man mein
prem ki chiKH lipta alhi thi laj ki an-suljhi uljhan mein
jhum raha tha jagte sapnon ka sansar aankhon mein aise
aur ki moti jhul rahe hon phulon ke jhulon mein jaise
alag alag bechain tha chappu hathon se chhuTa jata tha
aur yun mere sabr ka pyala rah rah kar chhalka jata tha
eka eki tu ne bhari ek ThanDi sans angDai le kar
chup ki thakan se baz aai thi sar ko rakha mere kandhe par
phir kya tha dil aise machla apne aap ko bhul gaya main
zor se tujh ko bhench kar apni bahon mein kuchh bol uTha main
ek mein kya aakash ke tare bhi wo raat nahin bhule hain
jis ko guzre aaj to lag-bhag chaar mahine bit gae hain
ab bhi is ki yaad macha deti hai ek halchal si man mein
aisi raat nahin aati hai palaT kar kyun mere jiwan mein
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 270)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.