bhulti hui yaad
tumheñ jab yaad kartā huuñ to ik miTtī huī duniyā
mirī āñkhoñ ke ā.īne meñ pahroñ jhilmilātī hai
kahīñ dam ghuT rahā hai muskurāte surḳh phūloñ kā
kahīñ kaliyoñ ke siine meñ havā ruk ruk ke aatī hai
kahīñ kajlā ga.e haiñ din ke chamkā.e hue zarre
kahīñ rātoñ kī hañstī raushnī ġham meñ nahātī hai
vahī duniyā jo kal tak dil kā dāman thaam letī thī
usī duniyā ke har zarre meñ ab be-iltifātī hai
tamannā apnī nākāmī pe kaañp uThtī hai yuuñ jaise
bagūle meñ koī sūkhī sī pattī thartharātī hai
ghane kohre meñ jaise Dhañkte jaate hoñ hare sabze
yuuñ hī biite dinoñ kī shakl dhundlī paḌtī jaatī hai
javānī kī añdherī raat aadhī bhī nahīñ guzrī
mohabbat ke diye kī lau abhī se thartharātī hai
tumhein jab yaad karta hun to ek miTti hui duniya
meri aankhon ke aaine mein pahron jhilmilati hai
kahin dam ghuT raha hai muskuraate surKH phulon ka
kahin kaliyon ke sine mein hawa ruk ruk ke aati hai
kahin kajla gae hain din ke chamkae hue zarre
kahin raaton ki hansti raushni gham mein nahati hai
wahi duniya jo kal tak dil ka daman tham leti thi
usi duniya ke har zarre mein ab be-iltifati hai
tamanna apni nakaami pe kanp uThti hai yun jaise
bagule mein koi sukhi si patti thartharaati hai
ghane kohre mein jaise Dhankte jate hon hare sabze
yun hi bite dinon ki shakl dhundli paDti jati hai
jawani ki andheri raat aadhi bhi nahin guzri
mohabbat ke diye ki lau abhi se thartharaati hai
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 271)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.