bimar dinon mein
maiñ apne bīmār dinoñ meñ
ek hī baat kahā kartā huuñ
raat bahut hī gahrī kaalī ho saktī hai
aur maiñ lambī lambī chādar taan ke so saktā huuñ
sūraj andhā ho saktā hai
chāñd sitāre saare
sach-much
ik ik kar ke bujh sakte haiñ
lekin mere andar
jo nanhā sā ek diyā raushan hai
us ke ujle saa.e kabhī nahīñ mar sakte
jag meñ ghor añdherā kabhī nahīñ kar sakte
main apne bimar dinon mein
ek hi baat kaha karta hun
raat bahut hi gahri kali ho sakti hai
aur main lambi lambi chadar tan ke so sakta hun
suraj andha ho sakta hai
chand sitare sare
sach-much
ek ek kar ke bujh sakte hain
lekin mere andar
jo nanha sa ek diya raushan hai
us ke ujle sae kabhi nahin mar sakte
jag mein ghor andhera kabhi nahin kar sakte
- Book : Chand Chiragh (Pg. 24)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.